Juda... *

Ab likh likh ke tujhko
Thak gaye hain khayaal bhi
Ummeed karte karte
Bujh gaye hain sawaal bhi
Na jaane kya baaki hai
Na jaane kiski aas hai
Kuch chhoot gaya tumse peeche
Par ab bhi hamare dil ke paas hai
Dard hota hai ab bhi
Par ashq ab aankhein bharte nahin
Bikhar gaye toote tinke
Ab asar yeh tukdde karte nahin
Guzre afsaanon mein kahin
Ab bhi goonj rahi hai khushi meri
Dil behlaane ko achcha bahaana hai
Cheekh leti hun andar ki khaamoshi mein
Doooriyaan juda kar dengi humein
Yeh khayaal bhi kabhi na aaya thha
Ab sochti hun toh lagta hai
Taash ke patton ka aashiyaana banaaya thha....

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸