Kahaani... *

Yahin kahaani shuru huyi thhi
Ek madhosh karne wali aas ke saath,
Yahin aaj dum todd rahi hai, 
har badhti saans ke saath...

Tumse mil kar socha thha,
Hum mukkammal kuch ho jaayenge,
Jo jhoothe bhram thhe mohabbat ke,
Socha thha tum sang rang laayenge,
Par yeh kahaani toh jaise shuru ho kar bhi be-manzil rahi...

Tum kabhi na ban sake sirf mere,
Aur meri toh har saans tumhare naam thhi,
Par bhram toddne ke fitoor mein yun nibhaate rahe mohabbat apni,
Ki khud ke tukdon ko raundh kar bhi saans lena seekh gaye...

Socha thha hogi baarish rang aur noor ki,
Ek hawa si chali aur hum khud ke ashqon mein hi bheeg gaye
Kyun pakde rakhein haath ab tumhara
Hum toh na jaane kis pal tumse bichadd gaye...

Uss pal ka kasoor kahein
Ya kahein yeh faisala taqdeer ka
Hamari mohabbat tumhe choo na saki
Aur shayad yeh dosh thha hamare beech ki bheed ka...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸