karma
Aaj maine tumhe mere khwabon ko, Jeete huye dekha, Jo tumne kabhi socha bhi nahin tha, Woh sab karte huye dekha, Khush toh tum hamesha se hi thhe, Maine tumhe khud se khush hote huye dekha. Meri kahi huyi baaton ko, Khud ki baatein kehte huye dekha, Aur mujhe Tum par sirf hansi nahin, Thoda taras bhi aaya, Kyunki tumhara tumse hi faasla, Saaf - saaf nazar aaya. Kaash tumhari tasveeron par likhe, Tumhare hi lafz, sirf lafz na hote, Kaash khud ki talaash mein daudte daudte, Tumhare aas paas ke log istemaal na hote, Ek din yeh daud khatam hogi, Tumhara khokhla sa mukhauta ek din, Saari duniya ke aage jab girega, Tumko khud ka saamna bhi karna padega. Toh jiyo sukoon se, Ki ab mujhko na koi ranjish hai, Bhaago tum apne karmon se, Tumhara hisaab meri khwahish hai, Jo diya hai tumne, woh laut ke aayega, Aur tumhara karma isi zindagi mein milega.