Posts

Showing posts from July, 2024

neeche ka kamra

Woh neeche ke ghar ka kamra jo aksar bandh rehta hai,  Usmein ab bhi tumhari kuch khushboo baaki hai,  Woh purse jo tumne mere is janamdin pe diya tha, Usmein ab bhi tumhari rakhi chilladd baaki hai... Woh glass jismein tumne aakhiri baar paani piya tha,  Ab bhi mere sirhaane rakha hai,  Woh chota sa showpiece jo tumne kamre mein lagaya tha, Woh kaanch ke darwaaze se aksar mujhe dekhta hai...   Woh windchime jo tumne pichli Diwali pe di thi,  Uski aawaaz ab bhi mere kamre mein goonjti hai, Woh chaabi taangne wala jo tum Jaipur se laaye thhe,  Usmein ab meri meri chaabiyaan khanakti hain... Mere har din ki kisi na kisi baat mein tumhari yaadein saanson ki tarah saath saath chalti hain,  Tumhare us faisle par har din mujhko kuch aur jhanjhodti hain, daant-ti hain, samjhaati hain... Ki woh aakhiri postcard jo tumne Spiti se bheja tha,  Jispe tumne likha tha ki tum mera saath kabhi nahin chodoge, hum hamesha saath rahenge,  Tumhari saari baaton ki tarah, yeh bhi sirf baatein thi,  Tumhare

gaane

Hum aksar gaano ke zariye baatein karte thhe,  Aur phir ek din, hum alag ho gaye,  Mere sur, jaise mere honthon ko chodd gaye,  Mera zehen, kisi gaane ko ab sunta nahin,  Uske diye zakhm meri had dhadkan todd gaye,  Koi lafz, koi saaz dil tak ab pahunchta nahin... Kahaani ghazalon ki, geeton ki baaton ki,  Kishore, Rafi, Kuhad, Anuv aur Trivedi ki,  Shayari Faiz, Rumi ki, kavitayein Bashir ki,  Sab mujhse roothi yun jaise meri pasand hi na thi... Ab main gaane sunti nahin,  Khaali rakha hai dil ka makaan sab saazon se, Kyunki shor mere mann ka maun hota nahin,  Usko bhulaana hai, mitaana hai jazbaaton se... Woh sunta hai ab bhi, gungunaata bhi hai,  Har lafz jo sune woh, mujhe yaad aata bhi hai,  Par faaslon ka faisla uska hi hai,  Aur mohabbat ka aakhiri karz yeh dil chukaata bhi hai... Bhool jaayenge usay, yeh koi shart na thi,  Yaad aayenge usay, itni toh aukaat hamari bhi hogi,  Guzar jaayega yeh waqt, waqt ke saath bhi,  Uske waqt mein magar thodi Kami hamari bhi rahegi.  - Medhav

talash

Talaash Ek arsa guzar gaya khul ke hasse huye. Na jaane kab khushi ke khauff mein rehne ki aadat padd gayi. Ab bhool jaate hain kabhi kabhi ki zinda bhi hain. Phir mehsoos karte hain ki saansein chal toh rahi hain. Hairaani ki hai baat ki sabko yaad mera Wajood hai, par kisi ko dikhta nahin ki in aankhon mein toote khwaabon ke alaawa aur kuch bhi nahin. Udaasi se kar li hai dosti kuch iss tarah ki khushi ke mukhautte ke peeche uska naam o nishaan dikhta nahin. Har subha jab aankhein kholti Hun, toh dhundhlaayi si zindagi dekh khud par hansti hun. Lagta hai chalo ek aur din aaya hai, jee kar dekhte hain. Ummeed toh kab ki chorr di, dhokhe ka bhi ab darr nahin, bas yun hi pehne ek mukkammal insaan ki poshaak, yahi soch phir hum Ghar se nikal jaate hain. Din guzar jaata hai kuch kaam mein, toh kuch aaraam mein, par ummeedein dene ka yeh silsila ab bhi jaari hai. Khud ko khud se ummeed nahin aur har din Na jaane kitni zindagiyon ko samajhne ki koshish main karti Hun. Achcha lagta hai jab l

yaadein

Kuch yaadon se aazaad hona badda mushkil hota Hai. Cheezon mein, raaston mein, khushbuon mein, mausamon mein, kahin mehfooz Inka wajood, aage badhne se rokta Hai. Kuch mita sakte Hain, aur kuch Hain Jo kabhi khatm hote nahin, Zindagi ke kuch kisson ko khud ko dohraane ki aadat si hoti Hai.  Baarish hamesha si Hain, phir bhi bheeni khushbu kisi guzre pal ki hoti Hai; sardi utni hi paddti Hai, phir bhi kohre mein kisi ek chehre ki parchaayi hoti Hai; garmiyon ki shaamein utni hi lambi hoti Hain, phir bhi haathon mein un haathon ki nami dafn rehti Hai; patjhad ki hawaayein utni hi tez hoti Hain, phir bhi unke udte tukdon ki manzilein guzre waqt ki hoti Hain.  Khidki se guzarte mausamon ko dekhte Hain Magar, waqt ki sooyi ek arse se wahin atki rehti Hai. Bheed se guzarte waqt jab koi jaana pehchaana sa itr choo jaata Hai, toh ek pal ko Mudd ke dekhne ki hasrat kabhi khatm nahin hoti. Kuch apni pasand ke khaane se alag jab kisine kuch khilaaya tha, kyun har daffa ab bhi pehle nivaale par us

strangers

We walked past each other like strangers,  It felt as if I had forgotten his face,  It felt different, as it felt good,  I moved on sooner than I thought I would,  One second of awkwardness and then it was gone, I smiled again with my heart because nothing seemed wrong, I wondered on my way back was it him who I loved, Regrets too seemed useless as there was not even hatred, One of the best feelings I swear, is to finally get over your choices, It is when you can finally recollect yourself and hear your inner voices, The damage done can never be rectified though,  But now at least I can open myself again to the idea of love.  Medhavi  July 4'17

hisaab

Waqt ka hisaab kho baithi hun aajkal,  Din raat ek se lagte hain tujhmein kho kar har pal,  Hai faasle apni jagah,  Phir bhi kyun itni nazdeeki hai,  Saat samundar ki doori, Saade teen ghante ka fark,  Aur milne ki taareekh kareeb hi hai,  Tujhe dekh kar jagne sone ki aadat padd gayi,  Aur bematlab hansne ki wajah kaafi hain,  Kat jaayega yeh intezaar ka daur bhi,  Tab tak tum par likhni hain shayari har din,  Guzar jaayenge yeh maheene, mit jaayegi har sarhad, Jab milenge toh kaisa hoga yeh sochte hain tab tak.  Medhavi  02/07/24

pal🌸

Ek pal bhi zindagi ka, kyun bin tere zaaya ho, tu ghul jaaye mujhmein, ki mera wajood bhi tera saaya ho... Tu mujhse ho kar guzre, main tujhmein kuch yun kho jaaun, teri baahon mein mere katre simtein, tujhmein bas ke, bas teri ho jaaun...