Posts

Showing posts from May, 2024

lied

He again lied to her about 'her' call He had saved 'her' number with a different name She believed him and chose to fall Blindfolded she was and got fooled again She saw him sharing glances with 'her'  In a crowded corridor she could catch their gaze But he looked at her just the way he did  And she gave up finding the way out from this maze He used to go to meet 'her' in her absence  She was somewhere alone lost in his thoughts  But he never cared and kept testing her patience And kept doing what he should have not They were an example for everyone around  But nobody could see the cracks in perfection  Her heart kept breaking without a sound And she kept on covering the cracks with her tears He said he didn't love her and needed more time  She said 'yes' like every other time He smiled at her and gave her hopes again But she had no idea about the actual decision he took for them Her fears were the same  Her insecurities were alike His lies n...

🫧Abhi 1

आज यूँ ही तुम्हारी याद आ गयी,  और सोच में पड़ गए ,  तुम होते तो कैसा होता... शायद मुशकिलें आसानी से आसान हो जाती ,  रातें यह शायद सो कर गुज़र जाती , हर सुबह तुम्हे ख़ुशी से याद करते ,  मिलने के नए बहाने हम बुन्ते ... पर अब तुम इतनी दूर हो ,  की कोई पुकार तुम तक नही पहूँचती ,  कोई खत तुम्हारा पता नही जानता ,  कोई ज़रिया तुम से नही जुडता ... सोचते हैं अक्सर ,  क्या तुम हो आस पास कहीं ,  मेरी गलतियां देख रहे हो , या मेरे रास्ते चुन रहे हो ,  अगर हो तो हाथ बढा रखा है ,  बस एक कदम आगे बढ कर ,  थाम लो हमको . कि बिखर रहे हैँ ख्वाब यह सारे ,  इस अेतबार पर , की तुम हो यहीं पर ,  एक दफा बस लौट भी आओ ,  सांस दे जाओ , ज़िन्दगी भर के लिए ...  . . Miss you Abhishek Singh.  Please come back.  RIP.

👤saugaat

Likhenge kuch tujh par,  Toh suni sunaayi baat lagegi,  Koi tohfa agar khareedenge,  Toh koi puraani saugaat lagegi, Isliye socha ki Ishq hi kar lein tujhse,  Kyunki is tarah bas tere naam har pal hoga Mukammal ho na ho yeh hai kismat pe,  Kam se kam yeh ek tohfa sabse alag hoga... Waah

👤malaal

Kya shikwa, kya gila karein, Jab galti hamari nazar ki thi, Humne khud usko chun kar, Apni barbaadi tayy ki. Unhe bhool jaane ke jatan kiye, Par aayeene se har din ki shikayat thi, Tumne chuna usay, yakeen tumne kiya, Tumne socha ki woh tumhari kismat thi. Khud se itna bair hua, Ki jeena yeh dushwaar hua, Ab har din ek hi malaal hai, Ki us se hi kyun humko pyaar hua.  Medhavi  21/05/24

👤 amar

Arre abhi shayari shuru Kahan Kari,  Humein agar mohabbat ho jaaye aapse, Toh bas chandd lafzon se aapko, Hum yun hi amar kar dein. 

👤shay 2

Tum par kuch likhungi,  Toh afsaana ban jaayega, Bin miley yeh haal hai, Milne ka bahaana ban jaayega, Apni tasveeron se kaho, Zara Kam meherbaan hon mere khayalon pe, Khaamakha Dil tumhara deewana ban jaayega.

🫧shay - ek ladke

Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise sunset ke rang,  Chand Chandni ke sang, Jaise Sardi ki dhoop mein, Lambi walk ki feel, Jaise relationship pe bani huyi, Lakshay ki viral reel Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise library ki shelf mein rakhi book ke beech mein rakha hua phool,  Jaise pahadon ki raaton ke sannaatte mein bajta hua guitar, Jaise behti Nadi ki aawaaz mein gum sa koi Nasha, Aur school wala purest pehla pyaar Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise uski checked shirt ke boxes mein, Kahin chupi huyi sau kahaaniyaan hain uski, Woh bolte bolte kabhi thakta nahin, Par saari baatein kyun itni suhaani hain uski... Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise uske haste chehre ke peeche bahut tanhaayi ho jaise,  Uske chote chote bachkaane videos ke peeche bahut gehraayi ho jaise... Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Ki din usko dekhe Bina ab achcha nahin lagta, Uski bematlab si baatein sune Bina ab waqt nahin kat-ta... Ek ladke ko dekha toh ...

🫧aksar

Main sochti hun aksar,  Jab hum milenge toh kya hoga, kaisa hoga,  Kya hum ek dusre ko dekh kar muskuraayenge? Ya Jo baatein ho chuki woh soch kar hans denge? Kya hum ek dusre se Nazar mila sakenge? Ya bas baaton ke peeche sab Darr chupa lenge? Kya hongi anginat baatein hum mein ?  Ya khamoshi ka aalam hoga ?  Kya saath chalte huye ungliyaan chhoo jaayengi hamari, Ya Zara faasle ka Mausam hoga? Kya hum, hum dono ke pasandeeda samose khaayenge, Ya uski pasand ki koi aur cheez, Kya hum phone wali hi baatein karenge, Aur main tumko kahungi, chup, badtameez !  Kya main tumhare gale lag kar Zara der tumhe mehsoos kar sakungi, Ya sharam ka pehra Zara sakht hoga,  Kya main tumhe Dil ki saari baatein keh sakungi, Ya hamare paas kam waqt hoga? Yeh sochti hun main aksar ki, Jab hum milenge toh kya hoga, kaisa hoga... Medhavi  21/05/24

🫧 he said

He said he loved her, She said I can't love anymore, He said he could mend her heart, She said she had lost the courage... He sent her flowers, He sent her a portion of his first salary, She smiled but never let that sink in... He came to meet her, He made her feel special, She smiled but could never reciprocate... He wrote her letters, He bought her a dress, She read them n wore it but never could feel... He said he'd be there, He said he'll hold her, She heard it all but could'nt ever believe... He fought with his friends, He detached himself from the world, While she got busy discovering herself... He protected her always, He kept her under covers, While she built a castle for herself... He made her strong, He made her feel alive, She accepted the changes, but just for herself... He thought he made her his own, He thought she fell in love, She did.. but with herself... The capability to love did'nt exist in her, The pain that changed things,  Was a lesson for her...

👤tasveer

Tum par kuch likhungi, Toh afsaana ban jaayega,Bin miley yeh haal hai,Milne ka bahaana ban jaayega,Apni tasveeron se kaho,Zara Kam meherbaan hon mere khayalon pe,Khaamakha Dil tumhara deewana ban jaayega.

👤amar

Arre abhi shayari shuru Kahan Kari,  Humein agar mohabbat ho jaaye aapse, Toh bas chandd lafzon se aapko, Hum yun hi amar kar dein.  Waah . Kya likha hai bhaisaab. I'm good.

🫧tukde

Khud ko toot-te bikharte , main har raat dekhti hun, Samet-ti hun khud ke tukde, aur  phir nayi shuruwaat har roz karti hun, Har din dekhti hun rasta tumhari ek khabar ka, Aur dhoondhti hun koi ilaaj main apne har Darr ka, Ki tumko kho kar karaar ek pal na aaya, Ek lamhe ko na chodd saka tumhare khayalon ka saaya, Tumhari tasveerein bhi jala di, Par jalti hun main khamakha kyun, Tumhari ummeedein bhi chodd di, Par maangti hun ab bhi tumko kyun, Kya meri mohabbat itni be-asar thi, Tum toh kehte thhe main zindagi thi, Aadat thi, tumhara Ghar thi, Mujhe mujhse beghar kar tum chain se sote kaise ho, Mujhe itna Tod kar, mere tukdon par tum chalte kaise ho, Ek burra khayal nahin nikalta, bad-dua dur ki baat hai, Par sach toh yeh hai ki mere pyaar ki yahi aukaat hai, Tum kehte thhe manaane aaoge tum agar main na aayi, Tumne toh bandh kar diye darwaaza dekh meri parchaayi,  Kahan jaaun kis se ardaas karun, Kaise main khud ko ab maaf karun, Tumhe chahna ab log meri galti bataate hain, ...

🫧arsa

Din toh guzar jaate hain, par, Yeh raatein meri dushman hain, Tere khayal kisi puraane cassette ki tarah, Mere dil - o - dimaag mein bajte hain, Kisi gaane jaise nahin, shor se lagte hain, Main na rok paati hun inhe, Na aage badhaane ya badalne ka koi tareeka milta hai, Main har raat khud hi se laddte jhagadte, Thodi aur khud se nafrat karte karte,  Neend ko rijhaane ki koshish karti hun, Har baar haarti hun, toot-ti hun, Par phir bhi khud se milne ki khwahish karti hun, Tumhe agar milun kisi mod pe, Toh mujhe mujhse zarur milwa dena, Ki ek arsa hua aayeene mein dekh muskuraaye huye. Medhavi  04/05/24

🫧kismat

Na-ummeed tha dil us raat ke baad, Soche baitha tha kahoge tum wahi ek baat, Ki bhool jaana yeh sab kisi khwaab ki tarah, Par tumne jab mere maathe ko  choom kar mujhe jagaaya, Sukoon bhari neend se  itne pyaar se Jo daaman chuddaya, Toh lafz gum thhe, Nazrein jhuki si thi, Tumhe dekhna tha, Par sharm ki paabandi bhi thi, Aur tum jab mere kuch aur kareeb aaye, Tham gayi har saans,  Kahan mujhmein us waqt koi sudh budh thi, Na maine koi vaada maanga, Na tumne di koi tassalli, Tumne bas yun hi raasta badla, aur Maine kismat par hamari kahani chod di, Medhavi 02/05/24

👤giraft

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24

👤afsos

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24

👤saath

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24