Posts

Showing posts from November, 2023

shaqs 🤞

Ek shaqs tha jisse mere hansne ki aawaaz behadh pasand thi,  Woh aksar aadhi tedhi baatein kar mujhe hasaaya karta tha,  Kabhi jab chalte chalte hamare haath choo jaate, Toh jaise uska zarra zarra jam jaata tha,  Raaste kuch yun badle ki hum jab miley ek arse ke baad,  Toh na usmein woh pagalpan tha,  Aur na mere chehre par hansi thi,  Bas khoye huye rishton ka ghum tha,  Aur muskurahat ki peeche behadh maayusi thi... Medhavi  28/11/23 

ghum 🌸

Kuch ghum ki parchaayi tum par bhi paddi Hum par bhi paddi Kuch dard ki chingaariyaan tumhe bhi jala gayin Humein bhi sulgaa gayin Kuch ashqon ki nami ne tumhe bhi bhigaaya Humein bhi sataaya Sab dil mein utarte jazbaaton ko chhoot-te tumne bhi dekha humne bhi dekha Sab bandhi ummeedon ko toot-te tumne bhi dekha Humne bhi dekha Bas fark itna raha Ki hamara saath na thha Koi aur hamare tha saath khadda Ek sa ghum Ek sa dard Ek sa dhokha Ek sa samjhauta Hum kar aaye khud se aur unse Aur phir hum tum miley bahut kismat se Waqt laga khwaabon ko ek sa karne mein Waqt laga sawaalon ko sulajhne mein Aur ek din humko phir pyaar ho gaya Ek aadhe adhoore shaqs se Tum se...humko pyaar ho gaya Ummeedein bandhti kaise Saari pehle se tooti thhi Neendein khwaabi hoti toh kaise Haqeeqat hi itni jhooti thhi Phir bhi aitbaar karne lage hum Tumse pyaar karne lage hum Shaam savere tujhse juddne lage Aadaton ke tevar badalne lage Neend ko bhi teri aadat si hone lagi Aur ek dor phir khwaab pirone lagi Hum t

neend 🌸

Neend Badda be - khauff hai dard yeh, Bin dastak aa jaaya karta hai, Ashqon ke libaas odh yeh, Din raat jagaaya karta hai... Aise mein jab Zara si khushi, Parchaayi mein bhi dhundhlaati hai, Ruk jaati hain saansein ab, Jab zindagi yeh muskuraati hai... Aadatein tanhaayiyon ki ab, kisi ke saath ki mohtaaj nahin, Jab aati hain liye koi vaada, toh dil kehta hai aaj nahin... khaamoshi ki lau mom se choo kar Zara si ladkhadaati hai, Jab koi haath pakadta hai toh saath chhootne ka darr badhaati hai, Guzra hua waqt jo ab tak beeta nahin, Usmein thamme huye toote vaadon ki yaad dilaati hai... Ab tum ho zindagi mein toh neend aane se ghabraati hai, Yeh haqeeqat badal Na jaaye kal iss darr mein raat bitaati hai, Neend aa jaaye toh phir khwaab dekhne se bhi ghabraati hai, Yeh khwaab Na toot jaaye iss darr mein kahan neend aati hai.... Medhavi

pink spectacle 🌸

Pink spectacle...  The cold breeze was brushing her hair, while the strands were bothering her eyes filled with tears. She was sitting alone at a lonely terrace, looking beyond a place that maybe never existed. Recalling past episodes of her life, she was smiling, crying, advising and scolding herself. She had been a friend, in love with her bestie, she had been a stranger, in love with somebody's voice on the phone, she had been a stalker, for the guy with the cutest smile, she had been a poet, for someone she could never get. She had been so much, in search for love, she was hurt so many times, in all those trials.  When she finally fell in love, with him, she thought it was end of the world. She was a giver since forever but she gave her own self, she gave up on her principles, she gave up on her dreams, and just decided to love him by all means. It was a pink rose colored spectacle through which she saw her dream life, everything beautiful, everything perfect. Somebody fell in

oas 🌸

Guzre huye lamhon ki oas, Aaj aayeene par jami huyi dekhi,  Gire huye do chaar lafz,  Aur bhulaayi huyi yaadein,  Kuch puraani tasveerein,  Aur dohraayi huyi baatein,  Ehsaas ajnabee to ho Gaye,  Par paraaye nahin,  Mulaaqaat to kehne ko ho gayi,  Par woh laut ke aaye nahin. Intezaar nahin, ummeed nahin,  Na unse mohabbat Hai ab,  Khud se naraazgi hai, nafrat bhi,  Kyun na samajh sake hum tab,  Behte rahe Nadi ki tarah unke jahaan mein, Jo kehte woh maan lete thhe, Aankhein moond Kar hum.  Ab khuli Hain aankhein to tajjub karte Hain,  Is oas par unka naam likh Kar mitaate huye, Hum hum na rahe, waqt badal Gaya magar, Woh na badle, na badli fitrat unki,  Kitni milegi saza us ek faisle ki,  Ki kabhi in nigaahon ne unko chuna Tha, Duniya se jhagad Kar unhe apna banaya tha. Mohabbat jab apni hi nazar mein gunaah ban jaati Hai,  Ek pal mein hausalon ki tasveer toot jaati Hai,  Saans aati Hai magar, jeene ka ehsaas nahin hota,  Zindagi guzarti Hai magar, Waqt nahin guzarta. Medhavi