Posts

Showing posts from January, 2016

Chhoota hua lamha... *

Ek lamha chhoot gaya, Bahut si anginat gehraayiyon mein... Kuch labhon ki surkhiyon mein Kuch gesu-on ki uljhanon mein Kuch badan ki silwaton mein Kuch saanson ki behadh hadhon mein... Kuch khushbu-on ke libaas mein chuppe dhuyein ki tarah Kuch khaamoshiyon ki aas liye be-baak baaton mein doobi aas ki tarah... Dabe paaon aa gaya katra katra kuch nazdeek Bikhar gaya ek lamhe mein jo lagta thha ab tak theek... Kuch tujh mein madhosh ho gaye Aur hosh apne kho diye Galat sahi se pare teri oar Na jaane kyun uss lamhe tere ho gaye... Na jaaye tu uss raat kya, kabhi bhi mujhse Is khayaal ke khayaal ka sawaal hi na tha Mulaaqaat thhi pehli aur koi bahaana bhi na tha Jaate huye dekha tujhe mudd mudd kar yun humne Jaise tere waapas aane ka intezaar hamesha se hi tha...

W. Thehra safar... *

नज़दीकियों और फासलों  के दर्मियां,  कहीं गुम एक लमहा ,  भीड़ में अब भी जो  कभी कभी ,  करता हैं हमको तनहा... साथ भी और साथ नहीं,  इस खामोशी  की कोई आवाज नहीं,  बातें कितनी पर मतलब कुछ भी नहीं,  कदम बढ़ते हुये  पर मंज़िल का पता नहीं... टूटा हुआ पर अब भी मुक्कम्मल,  दबी हुई ख्वाहिशों में  लिपटा ,  बिनाम  सा रिश्ता , ठेहरा सा सफर ,  और हर दिन वही एक मनज़र ... मेधावी 

P.Soch...*

Kabhi kabhi sochti hun,  ki kitna sochti hun,  tere baare mein, Tere baare mein sochne ke baare mein sochti hun... Sochti hun ki khayaalon mein tum ho, ya khayaal tum ho, Naamaujhoodgiyon mein maujood ho agar, toh yeh doooriyaan kyun hain.. . Doooriyaan hain agar, Toh chehre par yeh sukoon kyun hai, Sukoon hai agar toh junoon mein dooba hua, Junoon ki sarhadon ke paar mohabbat ka ek anokha sa nasha, Aur uss nashe ke paar kahin sahi aur galat se upar tera mera saath kahin... Phir sochti hun yeh khayaalon ka samandar hai, ya samandaron ke darmiyaan koi haqeeqat hai, Haqeeqat hai agar toh kyun, Khwaabi sa lagta hai jahaan teri baahon mein... Kyun soch par bhi tera kaabu aur neendon par bhi chalta hai tera jaadu... Kyun dua mein bhi tu aur ardaas mein bhi tera naam hai shaamil Kyun hai mohabbat itni ki darr lagta hai kabhi kabhi khud se mujhko Na jaane kis tarah hoga haasil tu mujhe, kis tarah maangun tujhko... Yahi sochte sochte phir soch pareshaa

Naamanzoor... *

Kuch ghabraata hai Kuch guroor bhi karta hai Tera haath thaam kar Duniya ko naamanzur bhi karta hai... Hai dil yeh kehne ko Par teri yeh jaageer hai Mere zehen ki gehraayi mein Tere khayaalon ki bheed hai... Tera naam jo lete hain labh Saans ab bhi tham jaati hai Tu dekhe mujhe bin baat jab Dhadkan phir dil tak aati hai... Hai kya suroor yeh teri maujoodgi ka Jo tere na hone par bhi madhosh yun karta hai Hai kya junoon yeh is bekhudi ka Jo meri deewanagi ko beparwaahi ka dosh yun deta hai... Tujhe dekh ab bhi bhar aayein yeh aankhein Tera tassavur baar baar kaid karta hai Yeh dil ek aag samete rehta hai teri chingaariyon ki Aur phir dheere se tera naam phir leta hai... Kuch ghabraata hai Kuch guroor bhi karta hai Tera haath thaam kar Duniya ko naamanzur bhi karta hai...

🏴Aadat...*

Tujhmein masroofiyat ki aadaton ki aadat lag gayi, Mohabbat kuch iss kadar meri ibaadat ban gayi, Tera fitoor ek junoon ban har saans mehkaane bhi laga, Dooor reh ke bhi chuye bina humko behkaane bhi laga, Teri chhu-an, teri saansein humko pighlaati rahi, Ek chubhan si faaslon sang humko rulaati bhi rahi, Par intezaar mein hamare koi kami na rahi, Waqt guzra magar mohabbat aur jawaan hoti rahi, Ab bhi tumhe dekh dekh bhar aayein yeh nayan, Ki sochein ab bhi ki kiya kya jo tujhe paa gaye hum...

Kahaani... *

Yahin kahaani shuru huyi thhi Ek madhosh karne wali aas ke saath, Yahin aaj dum todd rahi hai,  har badhti saans ke saath... Tumse mil kar socha thha, Hum mukkammal kuch ho jaayenge, Jo jhoothe bhram thhe mohabbat ke, Socha thha tum sang rang laayenge, Par yeh kahaani toh jaise shuru ho kar bhi be-manzil rahi... Tum kabhi na ban sake sirf mere, Aur meri toh har saans tumhare naam thhi, Par bhram toddne ke fitoor mein yun nibhaate rahe mohabbat apni, Ki khud ke tukdon ko raundh kar bhi saans lena seekh gaye... Socha thha hogi baarish rang aur noor ki, Ek hawa si chali aur hum khud ke ashqon mein hi bheeg gaye Kyun pakde rakhein haath ab tumhara Hum toh na jaane kis pal tumse bichadd gaye... Uss pal ka kasoor kahein Ya kahein yeh faisala taqdeer ka Hamari mohabbat tumhe choo na saki Aur shayad yeh dosh thha hamare beech ki bheed ka...