Posts

Showing posts from December, 2015

Juda... *

Ab likh likh ke tujhko Thak gaye hain khayaal bhi Ummeed karte karte Bujh gaye hain sawaal bhi Na jaane kya baaki hai Na jaane kiski aas hai Kuch chhoot gaya tumse peeche Par ab bhi hamare dil ke paas hai Dard hota hai ab bhi Par ashq ab aankhein bharte nahin Bikhar gaye toote tinke Ab asar yeh tukdde karte nahin Guzre afsaanon mein kahin Ab bhi goonj rahi hai khushi meri Dil behlaane ko achcha bahaana hai Cheekh leti hun andar ki khaamoshi mein Doooriyaan juda kar dengi humein Yeh khayaal bhi kabhi na aaya thha Ab sochti hun toh lagta hai Taash ke patton ka aashiyaana banaaya thha.... Medhavi

P Saamna...*

Kuch baatein khud ki Main khud hi bhulaana chahti hun Magar bhoolne se pehle Kisiko bataana chahti hun Thoda darti hun Khud ki kamzoriyon se Thoda sambhalti hun Khud ki thokaron se Bahut si baatein aisi hain Jo bahut andar dafn hain Saanson ke kareeb hain Par guzar kar unse wahin thami hain Na jaane yeh kamiyaan khud ki Mere saamne ho kar bhi kab tak chuppi rahengi Jalti huyi yeh kamzoriyaan dil ke andar Kab tak chehre par bujhi rahengi Sochti hun koi miley aisa jo Mujhe sune aur kamiyon sang meri chaahe mujhe Sochti hun koi miley aisa jiss se Yeh sab baatein chupaani na padein Kab ban gayi itni kamzor main saamna karte karte aate jaate waqt ka pata na chala Bas mushkilon ke saath apna khud se bhi saath chhoot-ta raha Kisi ne aise chorra jaise hum kisi kaam ke na rahe Aur phir jisne bhi haath pakda, saath nibhaaya nahin Bhool gayi hun khud ko kuch is tarah ki darr hai shayad khud se hi Saari ummeedein bharosa mitt gaya duniya se kya khud se...

Intezaar *

Intezaar Kuch tera intezaar hai Kuch dil yeh be-ikhtiyaar hai Kuch gali yeh mehek rahi hai Ek sadi bin tere guzar gayi hai Bhooli nahin hun ab bhi Tere jism ki woh khushboo Teri aawaaz ki woh narmi Teri baaton ka woh jaadu Aur saanson ki woh garmi Neendon mein muskuraati rahi Tere khwaabon ko jagaati rahi Is tarah deewanon ki tarah Main har din bitaati rahi Ab tere aane ki khabar jo mili Yakeen de raha hai dhokaa sa ab bhi Tujhe choo kar dekhungi toh aitbaar hoga Tu hai sach mein nigaahon ki haqeeqat Vehem mein dekha hi nahin bas tujhe Tujhe baahon mein bhar kar neendein bhi haasil ki Ab tu hoga jab mere kareeb Toh gum ho jaayengi yeh neendein bhi Kayi ghante toh teri aawaaz zehen mein kaid karne mein lagenge Kayi din toh tujhe nigaahon mein bharne mein lagenge Phir jaa kar tere hone ka yakeen hoga Woh manzar na jaane kitna haseen hoga... Medhavi

Sher...*

Nazdeekiyon mein kaid Dooriyon ka asar thha Meri waffa se mohabbat se Woh bekhabar thha Phir bhi ab bhi usko apna bataane mein Guroor sa khud par hota hai.. Medhavi Mohabbat phir karne ki na thhi aarzoo humko magar Tum aa khadde huye saamne meri zindagi ka maksad ban kar... Medhavi Jab teri maujoodgi mein bhi tanhaayi mehsoos hone lagi, hum samajh gaye ki ab hamari zarurat khatm ho gayi... Medhavi

Para Mind games... *

Its crazy where your thoughts can take you.. innumerable places.. innumerable encounters.. innumerable experiences with just closed eyes or at times open too! You can think of a thing that happened day before or something that bothered you in your childhood, some thing that hurt you years ago or some thing that you are scared that would hurt you maybe tomorrow, some old incident that still makes you not just smile but laugh or an experience you have never had but are looking forward to so as to feel that happiness from your entire being...  This entire play of the mind and you makes you realise that the mind is not your slave but you are and as well said by a friend, if you can control your mind, you can do anything and everything.  Its difficult though, as when you start thinking, so many crazy things rush here and there.. they collide and confuse you, they sink in and hypnotise you. You think people play mind games with you, but that isn't true. Its you who allows your...

Kahaani... *

Kahaani... Tujhe paane ki ummeed Chorr aaye ateet mein Tera haath chorr aaye Ajnabiyon ki bheed mein Tujhe sochna bandh bhi kiya Par khwaab aate rahe Taqdeer ka rukh mod bhi diya Par laut ke tum aate rahe Mulaaqaaton ka silsila dhundhlaane laga Par ehsaas phir bhi toota nahin Preet ka mausam murjhaane laga Par bahaar ki aas se rootha nahin Kuch adhoore kuch mukammal lafz Aur ek lambaa kaarwaan beete waqt ka Har roz kaanon mein cheekhte rahe Dhadkan par naam likh aaye teri sarhad ka Ab tu ho haasil ya ban jaaye mere ateet ka andhera Koi darr nahin Ab tu bhool jaaye Ya bhula de meri maujoodgi ka har ishaara Koi darr nahin Ki humne toh tere naam apni Har subha shaam likh di Mohabbat ki pehchaan de kar Zindagi tere naam likh di Medhavi

Mirrors...*

Mirrors... I was looking for myself and I bumped into you. I didn't get much time to look in those deep eyes or see that mesmerising smile of yours.. but could just see that we were so identical in supernatural or inexplicable ways. I realised that two mirrors broke and our pieces shattered on the ground. We left those broken pieces on the floor and started walking together. Everyday when we met, we felt an emptiness that we couldn't understand or accept.. those pieces were missing. They used to hurt us when we walked over them.. we used to bleed every time as we broke our own or each other's pieces. Those pieces were our innermost fears.. dreams.. values.. that we just left there.. abandoned. When we bumped into each other, we just noticed the pieces that got shattered, but not that we were just the same.. we were mirrors... mirror images of each other.. We had the same fears.. same insecurities.. same madness and same broken spirits. We then walked bac...

😑Rona

Rona zaroori bhi hai Duniyaa saaf nazar aati hai Dard faraar ho jaata hai Aur neend ghar aa jaati hai Medhavi

kuch

Kho diya hai khud ko Tujhe dhundhte dhundhte Bhatak gayi hun kuch main Tera pata puchte puchte Jal gaye khwaab mere Tere khwaab poore karte karte Kuch chhil gayi ungliyaan Tera haath pakde pakde Kuch chhil gaye talve Tere saath chalte chalte Saare bandhan khud se hi todd aaye tere sahaare Tune bhi haath chhuddaa liya toh hum jaate kahan pe Kuch toot gaye hum kuch khwaabon ne jodd liya Kuch choott gaye bhram peeche ki haqeeqat ne jhanjhodd diya Kuch mar gaye kuch jee gaye Zeher jaan kar ishq pee gaye Phir hans bhi diye khud par Aur ro bhi liye akele... Medhavi 05-12-2015