Posts

Neend

Neend aayegi kaise, Khwaab se bhi ab darr lagta hai, Ek aayeena hai saamne bhi, Aur haqeeqat se bhi darr lagta hai... Jo baat kahi nahin kabhi, Uss baat ka afsos hai kyun, Lamha lamha kare bewaffai, Ae dil tu maayoos hai kyun... Naam tera hai saans saans par, Khushbu ka wajood liye ab bhi, Ab kya ummeed main rakhun, Bandh ho gaye darwaaze sabhi... Roshni ka suraag nahin, Andheron se ghabraata hai dil, Sab jaanta pehchaanta hai, Phir bhi kyun baaton mein aata hai dil... Phir aa gayi laut kar, Yeh lambi raat mere kareeb, Phir aa gayi kharonchne, Khayaalon ke woh zakhm... Apni hi neend ki fariyaad ab, Karne lage khuda se hum, Kuch armaan nahin waise, Kuch khaffa bhi khuda se hum... Uddne ka na socha thha kabhi, Zameen par paanv rakhe thhe, Na jaane kab meri zameen bhi, Meri hi parchaayi se paraayi ho gayi... Neend neend ka dosh hai saara, Tumhe chain ki, Mujhe naam ki, Tumhe khwaabon bhari, Meri khayaalon se dari dari si, Par ek sukoon ...

Sukoon..

Dil itne zarron mein toot kar bikhar gaya, Pata sukoon ka aaj khud se kho gaya, Na jaane kab ab neend humko aayegi, Na jaane kaun si subha phir se jagmagaayegi... Be-kasoor thhe hum ya majboor thhe, Hum toh bas teri nigaahon ke nashe mein choor thhe, Tune jo raah dikhaayi, Hum aankhein moond chalte rahe, Tune aag di ya chingaari, Hum pal pal bas pighalte rahe, Aaj jab tera hi saath choot gaya, Laga jaise koi mere saamne mera sab loot gaya, Tere saamne khadde bas hum muskuraate rahe, Tujhko khabar bhi nahin kitna kuch mujhmein toot gaya... Medhavi 12.11.15

🎈Ghum

भागती  रही  बंजरों  की  ओॅर ,  बहार  की  उम्मीद  ले  कर , अंजान  हाकीकतों  से , ज़लजलों  की  भीड़  ले  कर ... टूट  गया  हर  भ्रम , एक  दफा  बस  टकराने  से , छू  गया  एहसास  फिर , बरसात  का  सेहराओं  से ... चुभने  लगी  हवायें , खारोंचने  लगे  उजाले , गम  की  परछाई  ले , फिर  हुए  दर्द  मेरे  हवाले ... खुद  को  झोंख  भी  डाला , फिर  भी  कुछ  ना  उसको  भाया , ज़िन्दगी  ने  फिर  झटके   से , मुझसे  हाथ  यूँ  चुडाया ... -मेधावी  12.11.15

Pending. Haar...

Haar gayi hun khud se Apne hi hausalon se Katra katra jal gaya Zindagi lutt gayi katron se... Bikhre huye khwaab Be-matlab ke sawaal Sab judd gaye hadhon se Jhoothe se woh kisse kal ke... Kho diya hai khud ko Tujhe paane ki zid mein Dhundh rahi hun khushi Dard ke zariyon se... -Medhavi 12.11.15

Para The Pink spectacle...

The cold breeze was brushing her hair, while the strands were bothering her eyes filled with tears. She was sitting alone at a lonely terrace, looking beyond a place that maybe never existed. Recalling past episodes of her life, she was smiling, crying, advising and scolding herself. She had been a friend, in love with her bestie, she had been a stranger, in love with somebody's voice on the phone, she had been a stalker, for the guy with the cutest smile, she had been a poet, for someone she could never get. She had been so much, in search for love, she was hurt so many times, in all those trials. When she finally fell in love, with him, she thought it was end of the world. She was a giver since forever but she gave her own self, she gave up on her principles, on her dreams, and just decided to love him by all means. It was a pink rose colored spectacle through which she saw her dream life, everything beautiful, everything perfect. Somebody fell in love with her smile, with th...

Ashq

Yeh ashq ab aate jaate logon ka tamaasha ban gaye hain, Bas teri aankhon mein utarne ki inki aukaat nahin... Medhavi 05.11.15

Himmat-e-waffa...

Na jaane kahan daba sa thha, yeh zalzala, Hum mein kahan thhi himmat-e-waffa, Bas tere tasavvur mein duba kar palkein do pal, Meri nazar se sharm-o-haya ne vidaa le li... Saare khauff kahin ashqon mein, ghul se gaye, Saare haqeeqaton ke kaafile, dhul se gaye, Ki thaama khud ka haath tera maan kar, Kahe huye lafzon ko tere, Phir se kaanon mein pehne hadh se aage badh gaye... Ab aar ho ya paar ho, jo bhi anjaam ho, Ya chaahe waffa kar bhi hum badnaam hon, Todd di humne janzeerein, beddiyaan hijr ki, Ab tum saath dedoge, toh mar hi jaayenge... Medhavi 03.11.15