Posts

Showing posts from August, 2024

shayari

[12/08, 3:31 am] Dr. Medhavi: Kyun jodte ho tum toote tukde mere dil ke,  Ijaazat toh maine tumhe apne dil mein jhaankne tak ki na di thi.  - Medhavi Aaj tumhe mehsoos kiya meri rooh ne,  Aur phir suna tumse hi,  Ki hamara saath mumkin nahin.  - Medhavi [12/08, 3:32 am] Dr. Medhavi: Na intezaar tha, na ummeed thi,  Phir bhi aisa lamha tu de gaya mujhe,  Jo tere jaane ke baad bhi guzarta nahin.  - Medhavi [12/08, 3:36 am] Dr. Medhavi: Main bahut koshish karti hun,  Tumhare Ishq mein na paddne ki,  Aur phir tum muskura dete ho.  - Medhavi [12/08, 3:38 am] Dr. Medhavi: Main ab bhi giraftaar hun teri us ek nigaah mein, Jo be-takalluff tune mujhe shayad khairaat mein di thi.  - Medhavi [12/08, 3:39 am] Dr. Medhavi: Na-ummeed Dil ki gustaakhi toh dekho,  Tumhe dekh har nazar yeh ek naya khwaab bunta hai .  - Medhavi [12/08, 3:40 am] Dr. Medhavi: Na tootne ka khauff hai,  Na phir bhikharne ka ghum hai,  Bas ek afsos hai itna sa,  Ki tere saath guzra waqt bahut kam hai.  - Medhavi [12/08, 3:42

gali

Dhundha tujhe un sab galliyon mein jahaan jahaan ummeed thhi Pukaara tujhe chilla chilla kar par shayad mere hausalon mein kami thhi Sun raha hai tu mujhe Shayad dekh bhi raha hai  Teri uss duniya mein shayad Yeh sab mumkin har tarah hai Par soch kabhi mera bhi Hun main yahan be-ummeed Sab pooch rahe hain mujhse Aur main keh rahi hun sab theek Sambhaalna hai tere apnon ko par mujhe sambhaalne wala koi nahin Na jaane neend kab aayegi Na jaane kab chain milega Itni thhi baatein kehne ko  Par tune suna hi nahin... Naraaz Hun tujhse aur khud se kar rahi hun nafrat be - intehaan main Yeh soch soch ki woh aakhiri baar tujhse baat Na ki thhi maine Bahut se kaash hain jin mein ab zindagi bitaani hai  Jo Na jaan sake tujhe unhe Teri kahaani sunaani hai  Par ek khauff sa ho gaya hai zindagi se  Tere bin jeene se ghabraata hai yeh dil Kho gaye saare raaste Gumshuda si ho gayi kuch aise manzil.. -Medhavi R.i.p Abhi

Dilli

Kyun achcha lagta hai tumhe Dilli ?  Itna unsafe hai, itna traffic, itne uncivilised log !  Dilli, kahan se shuru karun?  Mujhe Dilli ke dhalte mausam pasand hain,  Kyunki har mausam mein Dilli kuch alag lagta hai,  Har maheene, har saal, iska har rang badalta hai Mujhe Dilli ke makbare aur baoli pasand hain, Inko dekhne kitni bhi daffa jaaun, mann nahin bharta hai Mujhe Central Dilli ki khaaskar, saari sadkein pasand hain,  Chalte chalte waqt ka pata hi nahin chalta hai Mandi House mein har din chalti firti, banti bigadti anginat kahaaniyaan pasand hain,  NSD, Bengali Market, Triveni, Chinese Van, in sab mein kahin na kahin mera bachpan palta hai Mujhe Dilli ki bus-on mein ghoomna pasand hai,  Aur metro mein gaane sunte huye chalna pasand hai, Public transport lo toh har din aasaan lagta hai Lotus Temple ka sukoon, Qutub Minar ka view, Ghalib ki haveli, aur Sundar Nursery ki vibe, Cathedral Church ki candles, Bangla Sahib ka kada prasad, Hanuman Mandir ke darshan, Jama Masjid ki azaan