Silvattein

Bistar ki silwattein, ab tak sawaari nahin,
Tumhari khushboo mein lipti raatein, ab tak guzaari nahin,
Ab tak thaame rakha hai, lamhon ka kaarwaan,
Kya karein uss khwaab se kal mein jeene ki aadat chhoot-ti hi nahin...

Kuch sambhaal rakhhe Hain khat,
Kuch sambhaal rakhi Hain cheezein,
Kuch tumhari mere paas bhooli huyi,
Kuch Jo mujhe tumne Yun hi di thhi...

Tumhara wala itr aksar kamre mein chiddak leti Hun main,
Maujoodgi ko kuch iss kadar tumhari, kaid kar rakhti Hun main,
Har raat jab sone jaati Hun main,
Yeh baahein baddi khaali-khaali si lagti hain,
Ek pal ko khayaal tumhara jab aata hai toh sochti Hun main,
Tumhari toh saansein tak ab kissi aur se bhari hain...

Tumhari tasveerein ab tak mere kamre mein lagi hain,
Unhe nikaalne ki himmat hoti nahin,
Kayi baar sitaare palat ke laddte hain mujhse,
Par main phir bhi un par bidagti nahin...

Yeh Kal ki syaahi dheere dheere mere pannon se mittne lagi Hai,
Halki boondein unhe dhundhla karne lagi hain,
Kabhi kabhi toofaan ka intezaar main karti Hun,
Lekin Tere aakhiri zarron ko khone se bhi darti Hun,
Toh bas khud se chhup kar yun hi,
Silvatein, khat, khushboo ko bas mehsoos main karti Hun,
Khone paane ka sawaal kahan,
Haar jeet mein iska koi mol hi Kya,
Iss mohabbat ne loot liya humse humko,
Ab poocho toh hamara wajood hi Kya...

Medhavi
30.03.17

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸