Posts

Showing posts from January, 2018

🚩Kuch to

Kuch baat to thi usmein Warna bikhar Kar bhi In tinkon mein uski maujoodgi ka Asar na rehta

Happy Birthday Di

Yeh waqt ki tasveerein kaafi nahin hain, Kyunki ehsaas Hain anginat, Aur frame bahut chota hai... Muskuraahaton ke peeche chupe huye lafz kaafi nahin, Kyunki ankahe raaz Hain anginat, Aur guzarta waqt nayi yaadein sanjota hai... Rangon se ghulta yeh rishta kaafi nahin hai, Kyunki baatein Hain anginat, Aur Zindagi bahut choti hai... Hamari kahaani jab doosron se sunti Hun main, To kuch guroor bhi hota hai, Jab apne wajood ko tum mein gum hote dekhti Hun main, To kuch hairaani si hoti hai... Yeh bataana kathin hai, Ki tum Kya ho mere liye, Rishte se behen ho, Par Zindagi si ho mere liye, Ek darwaaza ho, Jiske darmiyaan hamesha  sukoon hai, Ek raasta ho, Jiski manzil hamesha rangeen hai... Aaj ka din hai khaas kyunki, Tumhara aaj Janam din hai, Meri bhi Zindagi badalne Wala, Aaj ki taareekh ka yeh din hai, Tum ho keemti kitni, Yeh jataana naamumkin hai, Lekin aaj bataana zaroori hai, Kyunki aaj tumhara Janam din hai... . . . Happy Birthday Di ♥️ I love you

Uss raat

Uss raat ki parchaayi, Tumko bhi bhigoti hai Kya ? Jazbaat ki khaamoshi, Tumko bhi jhanjhodti hai Kya ? Jab neend ho aankhon mein, Phir bhi tum jagte ho Kya ? Beete us lamhe ko chhoone ko, Khayaalon ko raah dete ho Kya ? Maujoodgiyon se meri, Tumhare khwaab toot-te Hain Kya ? Ho Kar uski baahon mein, Mera aks dhoondhte ho Kya ? Jalte alfaazon ko jab waqt yeh hawa deta hai, Tum muskura kar yun, bheetar choor hote ho Kya ? Apni roz ki raahon ko, Mere Ghar ki oar ab bhi modte ho Kya ? Ab bhi aankhon mein kaid, Us raat ki khushboo hai Kya ? Aarzoo ka ikraar nahin lekin, Justajoo ka izhaar hai Kya ?

Lamha

Ek lamha tod ke rakha hai, Taqdeer se jhooth sa bol Kar, Tum apna lamha bhi jod kar rakhna, Aankhon mein bandh Kar ke rakhna, Ki waqt ki bauchaar aksar ashq ban jaaya karti hai, Isliye mera lamha apni taqdeer mein piro ke rakhna... . . . Medhavi .

Mudd ke

Mudd ke dekha Jo agar, To raahein bhatak jaayenge hum Par chalo ek pal than Kar, Is pal ko said Kar lein Zara... . . . Medhavi .

Kho jaane do

Kho jaane do kohre ke darmiyaan mujhe, Thikaana na poocho, manzil ka pata na poocho, Le jaane do raahon ko us paar, Jahan khud se mulaakaat karne ke liye, Ijaazat na leni pade... - Medhavi

Waqt nahin tha

Jab hasratein thi, waqt nahin tha, khwaab the saikaron par, unka duniya ki nihaahon mein koi Matlab nahin tha, ab hasratein bhi hain, aur khwaab poore karne ki chaah bhi, par inko baant-ne ya mukammal karne  ka waqt nahin hai... To kisi tarah aadhe adhoore khwaab kaid karne ki aadat daal Raha Hun, duniya ki raftaaron mein bhaagne ka saleeka seekh Raha Hun, waqt mein se waqt nikaal Raha Hun, aur do chaar puraani yaadein taaza Kar Raha Hun...

Dosti ka naghma

Chaai ki chuskiyon ki aawaazon mein, Aur cigarette ke dhuyein mein gum kuch lafzon mein, Khwaab pirote hain hum Kal ke, Yun hi dhoop chaanv mein baithe baithe... Kabhi nikal jaate hain sadkon par, Bin raah, bin manzil jaane, Kuch is kadar bunte Hain kaarwaan Zindagi ka, Khud ek dusre par hum tum hanste hanste.... Yaari ya yaaraana, yeh dosti ka afsaana, Mausamon mein kho jaane wale ek lafz ka kohra, Murjhaate waqt ko panaah deta, Ummeedon ka gulistaan... Puraani tasveeron par jami yaadon jaisa ek taraana, Dhaagon se baandhte hum tum is dosti ka yeh naghma... . . . . Wrote this for Wappu

Fitrat

Kuch teri aawaaz ki aadat hai Kuch mere ishq ki fitrat hai Warna yeh din raatein itne mukammal pehle kabhi na thhe...

Jaldi hai

Jo khat likhe nahin Unhe pahunchaane ki jaldi hai Jo khwaab bune nahin Unhe rafoo karne ki jaldi hai Jo lamhe mehfooz Hain khayaalon mein Unhe Tere zariye chhoone ki jaldi hai Tere Hain kabse Phir bhi Tere hone ki jaldi hai...

Ek raat

Ek lamhe mein simti huyi ek raat thhi woh, Sau mulaakaaton mein se ek mulaakaat thhi woh, Manzar deewanagi ka tha aur bekaraari ka bhi, Bandagi thi thodi aur aawaargi ka mausam bhi, Pakad ke haath uska main khwaabon mein usay kheench laayi, Bandh Kar ke darwaaza waqt ka dhadkanon ne li ek angdaayi, Thoda ghabraaya sa tha woh, Aur andhera kamraa tha, Chandni ki mehek thhi aur pal woh thehra tha, Ghul rahi thhi saansein, Sargoshiyaan bikhar rahi thi, Khaamoshi ki thi baatein, Aur khushbuein sanwar rahi thi, Be-aahat tha har Kadam, Be-gairat tha har sitam, Usmein meri har ek saans utar rahi thhi, Aur raat Yun hi khwaab si guzar rahi thhi, Ki bas hua ek ehsaas, Ki hai yeh bas ek khwaab, Khol darwaaze kaanch ke, Maine usay bas Yun hi dhakka diya, Jamme huye waqt mein, Usay nazar mein kaid kiya, Ki woh raat thhi kayaamat ya haqeeqat thhi woh, Yeh soch aaj main phir se muskuraane lagi....

Pending - Us raat

Us raat jab hum tum jaag rahe thhe, Khayaalon ke sheher mein lafz bhaag rahe thhe, Sannaatton mein dabi baatein thhi kitni, Aur ranjish gile sab dhundhlaa rahe thhe... Tumne chhua tha nazar se apni, Nasha sa kuch hawaon mein ghul raha tha, Ungliyon ne ungliyon tak ka safar tayy Kiya tha, Aur Nazar mein aayeene sa tera chehra dhul raha tha... Kuch khushbu si guzri aaj uss raat ki, Kuch syaahi ban kaagaz par utar gayi, To kuch khwaab ban zehen mein sanwar gayi... Kuch guzra waqt yaadon mein khanak gaya, Kuch baatein phir khud mein ulajh gayin, Kuch hansi, kuch ashq ban, Phir ehsaason mein simat gayin, Aur woh raat phir nazar ke saamne se guzar gayi

🤗|Takdeerein takra gayin|

Tere haathon ki lakeerein us raat, Meri lakeeron mein dhundhlaa gayin, Jab chu gayi Teri ungliyaan, Aur taqdeerein takraa gayin...