Ek raat

Ek lamhe mein simti huyi ek raat thhi woh,
Sau mulaakaaton mein se ek mulaakaat thhi woh,
Manzar deewanagi ka tha aur bekaraari ka bhi,
Bandagi thi thodi aur aawaargi ka mausam bhi,
Pakad ke haath uska main khwaabon mein usay kheench laayi,
Bandh Kar ke darwaaza waqt ka dhadkanon ne li ek angdaayi,
Thoda ghabraaya sa tha woh,
Aur andhera kamraa tha,
Chandni ki mehek thhi aur pal woh thehra tha,
Ghul rahi thhi saansein,
Sargoshiyaan bikhar rahi thi,
Khaamoshi ki thi baatein,
Aur khushbuein sanwar rahi thi,
Be-aahat tha har Kadam,
Be-gairat tha har sitam,
Usmein meri har ek saans utar rahi thhi,
Aur raat Yun hi khwaab si guzar rahi thhi,
Ki bas hua ek ehsaas,
Ki hai yeh bas ek khwaab,
Khol darwaaze kaanch ke,
Maine usay bas Yun hi dhakka diya,
Jamme huye waqt mein,
Usay nazar mein kaid kiya,
Ki woh raat thhi kayaamat ya haqeeqat thhi woh,
Yeh soch aaj main phir se muskuraane lagi....

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸