Posts

Showing posts from September, 2016

P. Waqt...**

Badde lambe lagte hain din, Baddi choti lagti hain raatein, Thak jaate hain hum magar, Nahin khatm hoti hain yeh baatein... Kuch mausam ki, kuch khaane ki, Kuch aaj, kuch guzre zamaane ki, Kuch hansi ki, kuch nami ki, Kuch haasil, aur kuch kami ki, Kuch baarish ki, kuch dhoop ki, Kuch kareeb, aur kuch door ki, Na jaane kitni baatein, kitne khwaab, kitni inaayatein, Na jaane kitne sawaal, kitne jawaab, kitni aayatein... Ban Gaye ho aadat tum, Ab kuch darr bhi lagta hai, Ki Na rahi aadat bewajah muskuraane ki, Aur ab yeh har roz hone laga hai, Na rahi aadat khushi bas yun hi paane ki, Aur ab yeh bin baat takraane lagi hai... Ek daffa chhoo lo toh yakeen aa jaaye, ki yeh khwaab nahin, Magar yeh faasle, yeh taqdeer hai aaddhe, jiska koi jawaab nahin, Chalo phir aaj raat karte hain baatein, bin baat ke phir hanste hain, Yeh jaan kar ki yeh waqt bhi, kuch waqt ka mohtaaj hai, chalo phir bhi kuch waqt hi sahi, khushi se Na ghabraate hain... Medhavi ...

🚩Sher*

Na maana Karo Yun saari baatein hamari Humne toh khud ki Sunni kab ki chorr di Waqt guzar jaata hai khabar nahin hoti Yeh choti choti si cheezein kab ban jaati hain keemti...

Edit. Baatein...*

Hain kitni baatein Jo  khud se chupaayi hain, Hain kitni yaadein Jo kahin andar dabaayi hain, Woh baatein Jo har raat saikaron sawaal uthaati hain, Woh yaadein Jo zehen ke andar chillaati hain, Woh hazaaron khayaal Jo kamzor banaate hain, Woh kuch aas ke tinke Jo phir dil ko sambhaalte hain... Woh neend jaldi aa jaane ki har raat ki tamanna, Ghar thak kar laut ke woh har roz aana, Khud ko gawaana kabhi cheezon mein kho kar, Khud ko rijhaana jhooti ummeedein phir de kar... Zindagi kahin thehri bhi nahin par bas chal hi rahi hai, Kamiyaan hain bahut phir bhi sambhal hi rahi hai, Aise mein jab raatein baaton se banttne lagein, Aur sawaalon ke jawaab yun hi Milne lagein, Toh ek pal ko gum sa ho jaata hai mann yeh, Ek ajab si hai yeh bechaini aur chubhan yeh... Jo raatein thhi tanha ab kyun achchi lagne lagi hain, Jo baatein daraati thhi ab kyun hausale dene lagi hain, Yahi soch bas yahan muskuraa rahi hun, Yeh Jo ho raha hai yakeen uspe khud ko dilwaa rahi...

🚩Caught

 I caught myself again re-reading your old texts and smiling all by myself,   I still see our pictures together and feel like diving deep into them and never coming back from that moment, I still dream of you and wake up with your smell in my soul, I still close my eyes and feel your lips kissing my forehead,  I hold my own hand and try to feel your warmth again, I still laugh at myself remembering the day I counted your eye lashes, I still treasure those coins left from our first date's bill,   I know you're no longer mine and cry my heart out all day, all night, I know you can't ever be mine and I tell that to myself again and again,  But yes that's true that love doesn't know these rules and decisions made just in day, This heart loves you n lives on the idea of you, of us, and thus, can't just let go. But yes I'll let you go this time because your love faded off and I lost, Yes I'll not force you or beg, because now it'...

Edit. Haq... *

Mat haq cheeno mujhse, Tumse har din yeh poochne ka Kaise ho, kahan ho tum, Khaana khaaya, Ghar kab pahunch rahe ho tum... Mat haq cheeno mujhse Tumko dekhne ka, Jab subha subha uthte ho tum, Kuch soch bas muskuraa jab dete ho, Shaam jab thak kar laut-te ho tum, Bin kahe bas ishaare samajhte ho jab tum... Mat haq cheeno mujhse, Tumhare uljhe baal sanwaarne ka, Tumse apna naam baar baar sunne ka, Tumhara kamra har din sametne ka... Mat haq cheeno mujhse, Tumhe pyaar jataane ka, Tumse aur mohabbat karne ka, Tum mein aur gum hone ka... Mat haq cheeno mujhse, Tumko apna kehne ka, Khud ko tumhara banaane ka, Tum par har din jee phir marne ka... Luttne do, hone do Barbaad mujhe, Shaayad is dil ko koi aas Miley, Tere intezaar mein jeene mein, Shaayad meri yeh pyaas bujhe... Ab Na kaho bhoolne ko mujhe, Der ho gayi bahut, Aage hum nikal aaye hain bahut, Ab Na kaho mera naam Na lo, Ki Tu ban gaya meri ab ibaadat... Na cheeno yeh chote chot...

P. Intezaar...**

Kayi baar aisa laga mujhe Mudd ke dekhungi toh tum khadde hoge Shaayad kahin se chhup kar Mujhe dekh rahe hoge... Kab bhool gaye tum mujhko Kab peeche chorr aaye tum humko Iss sawaal se bandh kar chal raha hai waqt Kya pata thha itna mehenga padega guzaara... Phir koi baat yaad aa jaati hai Aur ek pal ki hansi ban jaati hai Aur wahi baat phir Na jaane kyun Aankhon mein nami bhar jaati hai... Intezaar nahin tumhara lekin Intezaar bhi hai, Na jaane kyun Ummeed nahin ab bachchi koi Ummeed bhi hai, Na jaane kyun... Jab Toota dil toh aawaaz Na huyi koi Mere aas paas duniya hai ab bhi waisi hi Bas sab badal gaya mere liye Sab ulajh gaya bas mere liye... Mukhautte kitne pehnun main Jhooth khud se kitne kahun Aisa lagta hai zindagi khatam huyi Isay kaise sirf ek kissa kahun... Medhavi

Edit. Aayeena - RIP Abhi

Woh dekhti hi nahin aayeene ko gaur se aajkal, Main chhup chhup kar usko dekha karta hun... Meri nazar parchaayi si uske saath saath chalti hai, Uske kadmon ke saath meri raah nikalti hai... Uski khushbu uss se pehle mere zehen mein bhar jaati hai, Uski aawaaz uss ke dil se pehle mujh tak pahunch jaati hai... Itni nazdeeki toh Na thhi kabhi jab tere saath thha, Thode faasle thhe thodi doori ka ehsaas thha... Ab Na dekh Sakti hai tu mujhe, Na mehsoos main hota hun, Par tere saath uthta baithta aur sota hun... Kehte hain log ki main iss duniya mein nahin raha ab, Unko kya khabar ki ab bhi main tujhmein jeeta hun... I miss you Abhi Medhavi 19-09-16

🚩Depression...*

Depression is when you know that the one who is helping you is giving you the same advice that you would've given to any of your friends in the same situation as yours, but you realise that you have forgotten how to talk to yourself and also that you don't trust yourself with your life any longer and prefer talking to a friend or even a stranger.. whoever is willing to listen to you. Depression is when you feel scared of being happy, being attached to somebody, of self appreciation, of your own choices, decisions, thoughts and finally yourself. This fear lives with you, within you practically, all the time. You unintentionally end up seeing the negatives of situations and disliking yourself. This doesn't come into your thoughts or realisation because you are too lost escaping the web that you have created for yourself through your own thoughts. Depression is serious. It needs attention. Depression is when you don't want to get up from your bed every morning. It...

Edit. Bhramm...*

Koi kaise chuddaaye aadat Jo saanson se juddi ho, bhula de kaise ek pal mein mohabbat Jo vaadon se bandhi ho, mitta de kaise khwaab saare Jo ummeedon se saje hon, Chorr de kaise karni ibaadat Jo shaksiyat se simte hon... Ek pal mein keh gaye kuch nahin woh hamare Bhram todd gaye jaise Jhoothe thhe woh lamhe saare Ab baithe hain andheron se ghiri Ek mehfil mein hum akele Soch rahe hain Kaun sa jaam pee lein Jo maan sakein ki yeh sab sach hai... Medhavi