P. Waqt...**


Badde lambe lagte hain din,
Baddi choti lagti hain raatein,
Thak jaate hain hum magar,
Nahin khatm hoti hain yeh baatein...

Kuch mausam ki, kuch khaane ki,
Kuch aaj, kuch guzre zamaane ki,
Kuch hansi ki, kuch nami ki,
Kuch haasil, aur kuch kami ki,
Kuch baarish ki, kuch dhoop ki,
Kuch kareeb, aur kuch door ki,
Na jaane kitni baatein, kitne khwaab, kitni inaayatein,
Na jaane kitne sawaal, kitne jawaab, kitni aayatein...

Ban Gaye ho aadat tum,
Ab kuch darr bhi lagta hai,
Ki Na rahi aadat bewajah muskuraane ki,
Aur ab yeh har roz hone laga hai,
Na rahi aadat khushi bas yun hi paane ki,
Aur ab yeh bin baat takraane lagi hai...

Ek daffa chhoo lo toh yakeen aa jaaye,
ki yeh khwaab nahin,
Magar yeh faasle, yeh taqdeer hai aaddhe,
jiska koi jawaab nahin,
Chalo phir aaj raat karte hain baatein,
bin baat ke phir hanste hain,
Yeh jaan kar ki yeh waqt bhi, kuch waqt ka mohtaaj hai, chalo phir bhi kuch waqt hi sahi,
khushi se Na ghabraate hain...

Medhavi
30-09-16

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸