Posts

Showing posts from February, 2016

🎈Have you ever loved somebody so much ?? *

Have you loved someone so much ? That the sound of their laughter made your soul sing?  That their smell lingered on your skin without a single touch? That you felt happy just knowing the fact that the wind that just brushed them touched you too?  That their mere presence brought tears to your eyes without any win or loss?  That their success meant your dreams coming true? That their voice echoed in your heart even days after they left?  That their mere sight made you pinch yourself to believe that they are actually there?  That their simplest of ways of doing the daily chores made you gaze at them like they are your moon? That their smile meant the world to you even after it came after breaking your heart or leaving you? That their happiness meant your glory ? Have you ever loved somebody so much ??

Jaanti hun main...

Hai kitna kasoorwaar tu Mujhe deewana banaane mein... Hai kitna kasoorwaar tu Mujhe deewana banaane mein... Yeh sochte sochte tujhpar ghazal likh rahi hun main... Teri bekhabari ko junoon bana kar... Teri bekhabari ko junoon bana kar... Aaj Phir khud par hans rahi hun main... Tujhmein hai baat woh kya Yeh ab bhi jaanti nahin hun main.. Tujhmein hai baat woh kya Yeh ab bhi jaanti nahin hun main.. Bas phir tujhko dekh kar tujhse aur mohabbat kar rahi hun main... Ibaadat Ibaadat ka naam dun agar... Ibaadat Ibaadat ka naam dun agar... Toh khuda se mukar rahi hun main... Ibaadat Ibaadat ka naam dun agar... Ibaadat Ibaadat ka naam dun agar... Toh khuda se mukar rahi hun main... Phir bhi tere naam ka kalma phir se dohraa rahi hun main Zindagi tere bin guzarni hai Yeh bhi jaanti hun main... Zindagi tere bin guzarni hai Yeh bhi jaanti hun main... Phir bhi apne aaj se kal ko tabaah kar rahi hun main..

🚩Mystery

You are the mystery that I never want to unfold, You are so beautiful in your own secret ways, I love the way you recite poetry through your eyes, The way you put forward all your different ideas, The way you quietly listen to me amongst the crowd, The way you gaze at stars to find a contstellation of your own, The way you flip your fingers around the glass that you hold, The way you sip your drink like a year's seasons pass by, Is it your smell that still lingers around my clothes, A bit around the sleeves, a little around the fur, You left so much with me without any intention, You made me fall or drown in you, I still cant express, But just to be precise and clear, You're unique in your own endless ways, You're the day, You're the night, You are everywhere... Medhavi

Kya Meri Tarah...*

Kya meri tarah tumhe bhi talaash hai, Guzre waqt ke khoye huye purzon ki, Jinse shaayad aane wale waqt ki marrammat ho sake.... Kya meri tarah tumhe bhi khushi ki aas hai, Jo guzre waqt ki dhundh mein gumshuda si, Mausamon ki hawa mein thodi thodi chhoo jaati hai ab bhi humein... Kya guzre afsaane bhula sake tum, Ya ab bhi tumko woh baatein zubaani yaad hain meri tarah... Kya woh tohfe phek chuke tum, Ya ab bhi kamre mein sajaaye rakhe ho tum bhi meri tarah... Ab aage badhne bhi do, Khwaabon mein aana chorr do, Bahut be-maksad si lagti hai zindagi tumhare bina, Saath jo mumkin nahin, Ab bhi kyun mannatton mein aata hai... Kyun ab bhi saaya tumhara, Veeraniyon mein bhi dastak si deke jaata hai, Bhoolne do agar tum bhi bhool chuke, Ya yaad rakhne do agar tumne bhulaaya nahin, Na rakhenge bair koi hum , Na poochenge phir kyun bulaaya nahin, Reh lenge tanha iss baat ko yaad kar ke, Ki ek pal hi sahi din ka tumko hum yaad aate toh hain... Medhavi

Woh Raat... *

Ho rahi thhi baatein Kuch iss tarah Ki hawa mein hasi ki goonj Aur darmiyaan dooriyon ki khushboo thhi... Kuch judaa kuch kareeb Yun hi gumshuda sa ek khayaal Jhooth aur sach ke beech jhoolta hua... Kuch khud par hasta Kuch khud se rooth-ta hua Khayaal se nikalta sawaal yun hi bin baat jhoomta hua... Kat gayi raat yun hi khaamoshiyon ki gufatagu mein Yun judd gayi ek raah ibaadat ki justajoo mein... Kuch sitaare jo chamke thhe uss raat aasmaan mein Ho gaye chaand ke kuch aur roobaroo kisi aur jahaan mein... Kuch baatein jo huyi shuru thhi baaton ke bunte jaal se Aaj judd gaye phir meri is daastaan aur aaj ke iss khayaal se... Phir likh rahi hun afsaana ussi raat ka Jispar likh chuki hun kitna ussi baat ka Woh hai khayaalon mein aaj bhi khud ko dohraata hua Hai anginat faaslon par phir bhi kareeb aata hua.... Medhavi

Ek Shayar se Mulaaqaat...*

Aaj yun hi chalte chalte, Ek shayar se takraa gaye, Maikhaane ghum ke do, Yun hi lamhe chalkaa gaye... Kuch kahi usne aap beeti, Kuch suni maine apni kahaani bhi, Kuch zikr farmaaya usne mohabbat ka, Kuch dard phir utraa aur behki hawa bhi... Sadaayein khaamosh thhi, Kal ke dhuyein mein madhosh thhi, Samandar sookhe thhe, Sehraa-on mein tha paani... Do baaton mein kaid huyi, Woh guzre dinon ki kahaani, Woh sher padh raha thha, Kissa aage badh raha thha... Par nigaahein wahin thami thhi, Jahan humsafar chorr ke gaya tha, Khoob kaha tha kisine, Shayar se na karna mohabbat, Amar tum ho jaaoge, Woh mitega tum par zindagi bhar, Par tum na mitt sakoge... Toh ab agar chalte chalte, Kisi shayar se takraa jaana, Na kehna usay deewana, Na aage yun hi badh jaana, Sunna kisse kahaaniyaan unki zubaani, Kya pata khud se mulaaqaat ho jaaye... Medhavi

😑Do Kamre...*

Kehne ko do kamre hain mere Ek ghar mein aur ek hostel mein Donon kamron se ek tarah ki mohabbat si hai mujhko Ghar ka kamraa bachpan se baantaa tha apni behen ke saath kyunki baantna paddta hai Aakhir behen hai aur ghar thha chota sa Yahin issi kamre mein na jaane kitne saikron lamhe kaid hain ab bhi Har nazar mein ek yaad ki tasveer ab bhi rang bhar deti hai Aur hostel ka kamra bhi baantaa kyunki baantna paddta hai Magar ek cheez hai dono kamron ki khaas si Tanhaayee ki khushboo ek si hai Ghaddi ki tik tik ki aawaaz bhi Aur hawa se takraata hua ghum ka saaz bhi Shamaa wahan bhi jalti hai raat ki Katra katra kar pighalti hai aaj bhi Yaadein kal ki peecha karte karte Aa gayin hain kuch uss kamre se iss kamre tak Na jaane kab tak juddi rahengi wajood se Dard ki saugaatein Woh beeti huyi baatein Kamre shayad badalte rahenge Par yeh khushbuyein, yeh aawaazein, yeh saaz, yeh shamaa ki garmi, yaadein aur aakhiri aas.. rooh ke saath aage badhti rahengi Kuch aur humko p

😒Words...----

Words are such garlands.. You smell them n believe them..  but forget the reality that they will perish very soon..

Gum...*

Kabhi kabhi sochti hun, Kahin kho gaya hai raasta, Manzilon ki bheed mein... Jo khushbuyein raahat si thhi, Jo aadatein shiddat si thhi, Woh dhundhli padd gayin, Aur phir kahin gum ho gayin... Ab saamne ho tum magar, Lagte ho kyun gair se, Iraade ab bhi badle nahin, Juda ho gaye hum phir bhi bin bair ke... Woh mohabbat wahin hai magar, Kyun jataane ko jee na chaahe ab, Ulfat ki hadh utni hi gehri hai magar, Kyun nibhaane ki himmat na aaye ab... Toot toot kar dil dheet ho gaya, Ab dard se darta nahin, Itna ghum aankhon mein bhar gaya, Ki ab ro kar waqt gawaata nahin... Ummeed bhi nahin koi, Aas bhi aakhiri bujh gayi, Tujhe paane ki aarzoo mein, Meri apni hi raah gum gayi... Lut-te rahe lutaate rahe khud ko, Koi hadh na tayy ki kabhi, Tune na samjha mere ishq ko, Kaash dekha hota humko gaur se ek daffa kabhi ...

💚The Silent night...

Image
Was it the magic of the stars that night Or was it all about me and you... Was it the fragrant moment that filled all voids Or was it all about the things you do... Was it the spark that ignited my soul Or was it the fire that burnt us down... Was it the uncertainity that was the surest thing Or the madness that seemed to be our sanest form... Or maybe it was just the two of us beneath the darkest yet brightest night, Inbetween countless doubts and countable stars in that cloudy sky,  Maybe we had a meaningless temporality under the permanence of memories, Undescribable, unimaginable, yet just made so much sense without any question of why? Instinct, connection or a weak moment, name it whatever you may, But there will be a night etched in the sky that wont forget our names... Medhavi...