Woh Chaubis Din... (Aug 2011)

This one is very close to my heart...
Date: Wednesday, 3 August, 2011, 4:41 PM

Har din uske deedaar se shuru hota thha,
Baahon mein uski har lamha guzarta thha,
Jab door se ek dusre ko dekhte thhe,
Aankhon aankhon mein sau sawaal poochte thhe...

Kareeb aake yun hi baahon mein kho jaate thhe,
Bin dooor jaaye phir baatein karte thhe,
Na darr logon ka, na fikr shor-gul ki,
hum yun hi baahon mein gum rehkar ek dusre ko dekhte thhe...

Kayi baatein har mulaakaat mein nayi lagti thhi,
Chehre mein ek dusre ke, koi baat nayi lagti thhi,
Har din ki ek nayi kahaani hoti thhi,
Ek nayi si khoj har din ki hoti thhi,
sukun thha har pal, nayi si baat har din ki hoti thhi...

yun hi nikal jaate thhe kissi talaash mein,
na koi manzil, na thikaana, bas ek ehsaas mein,
khud par hanste huye, logon ko andekha karte huye,
kahin bhi baith jaate, raston mein gungunaate huye...

yun hi kissi dukaan mein jaa kar mol bhaav karte,
aur bina kuch liye bas yun hi laut aate,
tohfe chote chote, ehsaas haseen se,
koi tamanna nahin ek dusre se...

nayi nayi jagahon par hum khaana khaate thhe,
yun hi baithe baithe ghante guzar jaate thhe...

saanson se saanson ki ankahee si baatein hoti thhi,
jo uski dhadkan meri dhadhkan se samajhti thhi,
kareeb rehne ka bahaana na dhundhne ki zarurat padti thhi kabhi,
har pal hamari ek hi tamanna ban jaati thhi...

kahin bhi haath thaam kar hum apni dhun par jhoomte thhe,
chandni raaton mein yun hi ek dusre ko choomte thhe,
ek coffee ke cup ko lekar haathon mein,
lamha lamha karke, din din guzaarte thhe....

nazdeekiyaan jaise dil se dil ki badhne lagi kuch is kadar,
jaise bas ek dusre mein samaane ki deri thhi...

shaam dhalte dhalte ek ajeeb si maayoosi chaati thhi,
jaise hi dooor jaane ki ghadi nazdeek aati thhi,
haathon ko hum aakhiri pal tak thaam ke rakhte thhe,
dua rehti thhi kaash hum ek dusre ke sang reh sakte...

zara nami si utar aati thhi aankhon mein,
zara kas ke thaam lete thhe woh baahon mein,
phir dooor jaate thhe kal phir milne ke vaade se,
jaise tukde ek dooje ke paas aur hum reh jaate aadhe se...

sapnon ka makaan jaise pal pal sawar raha thha,
hamara naam ek saath bandhne laga thha,
ek ajeeb si duniya humne bana li thhi apne liye,
yakeen jispe karne lage thhe adhoore sapne liye...

na hosh kisi manzil ka, na guzarte huye lamhon ka,
bas ek talaash ek dusre ki tanhaayi mein, bheed mein,
na tamanna koi, na dua koi us khuda se,
bas khwaab ek doosre ka, hosh mein, neend mein...

woh din.....woh chaubis din,
ek mausam thha kisi ghum ke bin,
ek lamhe mein simat gaye woh chaubis din,
ek janm jee liya jaise humne yun hi,
ab intezaar hai phir us mulaakaat ka,
jisse aadat bana diya hum donon ne yun hi...

ab saath hain hum, sab faasle mita kar,
ab saath hain hum, har rasm bhula kar,
mohabbat ek chota sa lafz lagta hai,
jo mehsus hum karte hain woh kuch alag sa rishta hai...

khuda ke aage pal pal yeh dil sajdaa karta hai,
ab kabhi na juda hone ki dua har pal yeh dil karta hai....

You, Siddharth Bhat, Piyush Matreja and Jai Mishra like this.

Jai Mishra wah wah!!!!aankhen bhar aayi.....
kitne pyare honge wo chaubis din....
samajh aata hai ise padh kar....bravo ! ! !
December 24, 2010 at 8:50pm · LikeUnlike

Medhavi Prakash thanks jai :-)

December 24, 2010 at 8:51pm · LikeUnlike
Jai Mishra u write very welll.....writer ban ja....
bhaut kamaegi....fir mjhe apni kamai se 1000 ruppee bhejna ...har month!!

December 24, 2010 at 8:54pm · LikeUnlike
Samsung Puri Is poem ki qantm ati h.

December 24, 2010 at 8:54pm via Facebook Mobile · LikeUnlike · 1 personLoading...
Medhavi Prakash pakka...yeh pakkkkka wala vaada raha... oyyye oooo
December 24, 2010 at 8:54pm · LikeUnlike

Medhavi Prakash qantm ????????? wat dishant ???? i dint get u

December 24, 2010 at 8:55pm · LikeUnlike
Siddharth Bhat oye nice one :)...keep it up :)

December 25, 2010 at 10:42am · LikeUnlike
Siddharth Bhat m quantum iss a buk v refer for xamz...bahut moti hotihai woh...heheheh :p
December 25, 2010 at 10:42am · LikeUnlike

Medhavi Prakash dishant @@ thanks..hehehe...i got it !!! 

sid @@ thanks alot..keep reading :-)

December 25, 2010 at 10:54am · LikeUnlike

Medhavi Prakash thanks piyush ! cant beleive u read it completely !

December 25, 2010 at 10:55am · LikeUnlike

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸