Pending. Dhundhlaayi dosti

Pehla tha wo rishta,
Jo humne khud banaya tha,
Sabse mil kar bhi,
Humein tu pasand aaya tha. . .

Kuch alag tha tujhmein,
Jo mujh jaisa tha,
Kuch raahat,kuch uljhanein,
Aisa apna rishta tha. . .

Khamoshi ke palon mein,
Hoti thi aksar baatein,
Raahi thhe hum sadiyon ke,
Yun hi hansi hansi mein,
kat jaati thi raatein. . .

Kuch intezaar ke lamhe,
Jawaab sawaal karte,
Hum yun hi badh chale,
Waqt ko peeche chode. . .

kehte, sang rahenge sada,
Wo sada reh gaya khwaabon ka hissa,
Raahein badli,
Aur kahin hum tum bhi,
Kho gaye vaade,
Dhundhla gayi dosti. . .

Magar tum yaad aate ho,
Ab bhi khayalon mein hansa jaate ho,
Nami chor palkon par,
Fir dosti par yakeen dila jaate ho. . .

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸