Posts

talash

Talaash Ek arsa guzar gaya khul ke hasse huye. Na jaane kab khushi ke khauff mein rehne ki aadat padd gayi. Ab bhool jaate hain kabhi kabhi ki zinda bhi hain. Phir mehsoos karte hain ki saansein chal toh rahi hain. Hairaani ki hai baat ki sabko yaad mera Wajood hai, par kisi ko dikhta nahin ki in aankhon mein toote khwaabon ke alaawa aur kuch bhi nahin. Udaasi se kar li hai dosti kuch iss tarah ki khushi ke mukhautte ke peeche uska naam o nishaan dikhta nahin. Har subha jab aankhein kholti Hun, toh dhundhlaayi si zindagi dekh khud par hansti hun. Lagta hai chalo ek aur din aaya hai, jee kar dekhte hain. Ummeed toh kab ki chorr di, dhokhe ka bhi ab darr nahin, bas yun hi pehne ek mukkammal insaan ki poshaak, yahi soch phir hum Ghar se nikal jaate hain. Din guzar jaata hai kuch kaam mein, toh kuch aaraam mein, par ummeedein dene ka yeh silsila ab bhi jaari hai. Khud ko khud se ummeed nahin aur har din Na jaane kitni zindagiyon ko samajhne ki koshish main karti Hun. Achcha lagta hai jab l...

👤yaadein

Kuch yaadon se aazaad hona badda mushkil hota Hai. Cheezon mein, raaston mein, khushbuon mein, mausamon mein, kahin mehfooz Inka wajood, aage badhne se rokta Hai. Kuch mita sakte Hain, aur kuch Hain Jo kabhi khatm hote nahin, Zindagi ke kuch kisson ko khud ko dohraane ki aadat si hoti Hai.  Baarish hamesha si Hain, phir bhi bheeni khushbu kisi guzre pal ki hoti Hai; sardi utni hi paddti Hai, phir bhi kohre mein kisi ek chehre ki parchaayi hoti Hai; garmiyon ki shaamein utni hi lambi hoti Hain, phir bhi haathon mein un haathon ki nami dafn rehti Hai; patjhad ki hawaayein utni hi tez hoti Hain, phir bhi unke udte tukdon ki manzilein guzre waqt ki hoti Hain.  Khidki se guzarte mausamon ko dekhte Hain Magar, waqt ki sooyi ek arse se wahin atki rehti Hai. Bheed se guzarte waqt jab koi jaana pehchaana sa itr choo jaata Hai, toh ek pal ko Mudd ke dekhne ki hasrat kabhi khatm nahin hoti. Kuch apni pasand ke khaane se alag jab kisine kuch khilaaya tha, kyun har daffa ab bhi pehle nivaa...

đź«§strangers

We walked past each other like strangers,  It felt as if I had forgotten his face,  It felt different, as it felt good,  I moved on sooner than I thought I would,  One second of awkwardness and then it was gone, I smiled again with my heart because nothing seemed wrong, I wondered on my way back was it him who I loved, Regrets too seemed useless as there was not even hatred, One of the best feelings I swear, is to finally get over your choices, It is when you can finally recollect yourself and hear your inner voices, The damage done can never be rectified though,  But now at least I can open myself again to the idea of love.  Medhavi  July 4'17

👤hisaab

Waqt ka hisaab kho baithi hun aajkal,  Din raat ek se lagte hain tujhmein kho kar har pal,  Hai faasle apni jagah,  Phir bhi kyun itni nazdeeki hai,  Saat samundar ki doori, Saade teen ghante ka fark,  Aur milne ki taareekh kareeb hi hai,  Tujhe dekh kar jagne sone ki aadat padd gayi,  Aur bematlab hansne ki wajah kaafi hain,  Kat jaayega yeh intezaar ka daur bhi,  Tab tak tum par likhni hain shayari har din,  Guzar jaayenge yeh maheene, mit jaayegi har sarhad, Jab milenge toh kaisa hoga yeh sochte hain tab tak.  Medhavi  02/07/24

pal🌸

Ek pal bhi zindagi ka, kyun bin tere zaaya ho, tu ghul jaaye mujhmein, ki mera wajood bhi tera saaya ho... Tu mujhse ho kar guzre, main tujhmein kuch yun kho jaaun, teri baahon mein mere katre simtein, tujhmein bas ke, bas teri ho jaaun... 

👤for i🌸

Khayalon se tumko ruksat karne ki tayyaari poori hai,  Bas yeh ishq aisa hai ki khud se be-imaani kar jaata hai. Inkaar ka tere yakeen tha, Isliye rok liya khud ko, Keh dete jo soch mein tha, Toh kaise rok paate tum khud ko Un aankhon mein ghalib ki baatein thi, Padh ke jinhe main kuch aabaad bhi hun aur barbaad bhi, Likhun kya un par ki lafzon ki zara tangi hai, Likhun kya un par ki lafzon ki zara tangi hai, Ki unse nazar hat-ti nahin, unke jaane ke baad bhi !

wajah

Aaj soch rahi thi  Ki agar tum poocho kabhi Ki mere liye tum kya ho Toh main kya kahungi  Subha uthte hi mere chehre ki muskaan ho tum,  Meri Alexa pe bajte 'tu hai kahan' ka alarm ho tum,  Aayeene mein dekh kar khud ko nazrein jhuka Dene wali sharam ho tum,  Kamre se nikalte huye Jo gungunaati hun main woh nazm ho tum... Naashte ke waqt mere saath baithne wala khayaal ho tum,  Kya pehnu aaj jo bhaaye tumhe woh sawaal ho tum,  Phone ko khud ke paas rakhne ki wajah ho tum,  Kuch aur waqt tumhare saath ki talab ho tum... Dhalti shaamon ka rang ho tum,  Khushbu woh jo chale mere sang ho tum,  Mere ishq ke itr mein ghulta nasha ho tum, Meri bewajah hans Dene ki wajah ho tum... Tum itne ho mujhmein,  Ki khud ko dhundhti hun main aajkal khud mein,  Tumse mil kar hone lagi hai phir se mohabbat khud se,  Tum tum ho aur yeh sabse khoobsurat baat hai tumhari,  Tum mil gaye issi zindagi mein, yeh kismat hai hamari. - Medhavi...