Posts

Khwaabeeda🌸

Khwaabeeda se tum aaj phir aa gaye saamne Harf - harf likhna chaaha taabeer ko teri par tujh mein hi gum ho gaya har zarra mera... Ba - dastoor raha khayaal tera zehen mein rawaan rawaan Aabshaar sa behta raha waqt bhi Zara Zara Tujhko paaya mukhtalif is zamaane se Warna iztiraar hum yun hi nahin hua karte Vasl kuch yun uns ka chhaa gaya Hum pe Ki thakte nahin aajkal hum sitaare ginte ginte... Ab bhi muntazir tere deedaar ko hum Mayassar saare sawaal rakhe baithe hain Ki ruhaaniyat yun mili ek nazar se Ek mulaaqaat ka khwaab liye baithe hain... Medhavi Words and their meanings - *Khwaabeeda - dreamy *Harf - letter *Taabeer - interpretation of dreams *Ba - dastoor - unaltered *Aabshaar - waterfall *Mukhtalif - different *Iztiraar - restless *Vasl - passion *Uns - love *Muntazir - awaiting *Mayassar - available *Ruhaaniyat - soulfulness

🕯️Bas

बस एक दफा  मिलना है तुमसे, ये कहने के लिए, वक़्त गुज़र गया लेकिन, वक़्त गुजरा  नही. - मेधावी 21.08.18

👤Ant

इन खाली रातों में अक्सर , गूँज उठते हैं अधूरे ख्वाब वही , जिनकी शुरुवात तुमसे थी , और अंत का अब तक मुझे इंतेजार हैं . मेधावी 20/08/18

🫧Hope

Just a story ... We loved each other. We did. It was all beautiful and rosy in the beginning. Dates, long walks, conversations over coffee, long drives, late night phone calls, early morning excuses to leave home and what not. It felt as if we completed each other. Now after 7-8 years, when I look back and think about it, I still smile but there are things that I'm reminded about that I still haven't forgotten. He was the best thing that ever happened to me but at the same time, the worst too. It took years to understand that sometimes love can be manipulative, manipulative to the extent that it disables your basic sense, instincts and thought process as well. It's funny how he could manipulate me to cut off with all my friends gradually so as to assure that I had nobody to talk to or share with what I was going through. In this society when you are ambitious, intelligent at the same time a woman as well, there are different kinds of struggles that you go through. My pare...

👤मोहब्बत की उम्मीदें

मोहब्बत की पेहली नज़र जो  तुम पर रुकी थी, सरहदों में कैद  बादलों से बरसी थी, ठुकराया था तुमने मुझको, यह कह कर की मुझमें वो बात नही थी, दिल दुखा  था बस, मोहब्बत की उम्मीदें नही टूटी थी... - मेधावी

Libaas

Wrote fo saumyaa Yeh libaas saadgi ka Ya hai mausam dilkashi ka Yeh latt zaraa uljhi si Aur adaa zara sulgi si Yeh ungliyaan tumhari Hain bani kalaakaari se Roshan ghar yeh karengi Sau andheron se ladd ke Itne haseen tumhare kadam hain Zameen se aasmaan ka sangam hain Halki tabassum tumhari Jaise goonji koi kilkaari Badde bhole hain yeh do naina Jinmein ojhal si hoti udaasi Utarti huyi zara nami si Phir bhi hain kitni pyaasi Yeh baaliyaan tumhari Ghunghroo si aawaaz wali Choomti huyi tumhare kaanon ko Phir ek sargam si chaayi Baddi fursat se banaaya Khuda ne tumko kisson mein Bhar di usne adaayein saari Tumhare har zarre k hisson mein Ghar se jab nikalnaa Aayeena phir dekh lena Kahin khuda hi na rooth jaaye Khudaa ka shukriya kar denaa..

🫧Para - aazaad🌸

Kuch yaadon se aazaad hona badda mushkil hota Hai. Cheezon mein, raaston mein, khushbuon mein, mausamon mein, kahin mehfooz Inka wajood, aage badhne se rokta Hai. Kuch mita sakte Hain, aur kuch Hain Jo kabhi khatm hote nahin, Zindagi ke kuch kisson ko khud ko dohraane ki aadat si hoti Hai. Baarish hamesha si Hain, phir bhi bheeni khushbu kisi guzre pal ki hoti Hai; sardi utni hi paddti Hai, phir bhi kohre mein kisi ek chehre ki parchaayi hoti Hai; garmiyon ki shaamein utni hi lambi hoti Hain, phir bhi haathon mein un haathon ki nami dafn rehti Hai; patjhad ki hawaayein utni hi tez hoti Hain, phir bhi unke udte tukdon ki manzilein guzre waqt ki hoti Hain. Khidki se guzarte mausamon ko dekhte Hain Magar, waqt ki sooyi ek arse se wahin atki rehti Hai. Bheed se guzarte waqt jab koi jaana pehchaana sa itr choo jaata Hai, toh ek pal ko Mudd ke dekhne ki hasrat kabhi khatm nahin hoti. Kuch apni pasand ke khaane se alag jab kisine kuch khilaaya tha, kyun har daffa ab bhi pehle nivaale par us...