Posts

Love stories

I always heard stories about love... watched films.. n read poetry... n had certain ideas n ideologies about it. Unconditional.. unselfish... patient.. kind... that's all what I had always believed until I met you. Because it was then when I understood and felt the actual depth of this four letter word. It is not just unconditional but a little demanding... as it demands some level of acknowledgement if not love in return. It is not just unselfish because it expects  ... as it desires fidelity.. it is not just patient but restless as it endures pain but still manages to show its happiest phase... it is not just kind but a little mean.. as it makes us negative towards the person who want to hamper it's essence. I have learnt about all the paradigms of Love through you... I have seen myself changing for good.. for bad... for the best n the worst. I have seen myself growing n witnessed my own decline.. I have seen my own damage n recovery... I have learnt so much about myself.. ...

🚩Taqdeer

Gum ho jaaun, Woh zarra nahin main, Tinkon ki ginti ka, Koi Tukda nahin main, Rangon mein ghul jaaun, Kuch aisi tasveer Hun, Main manzilon ki seedi, Aur dusron ki taqdeer Hun...

🎈Synced souls

Every morning when I woke up in his arms, His breaths matched mine, Like our souls were synced...

🚩Kuch to

Kuch baat to thi usmein Warna bikhar Kar bhi In tinkon mein uski maujoodgi ka Asar na rehta

Happy Birthday Di

Yeh waqt ki tasveerein kaafi nahin hain, Kyunki ehsaas Hain anginat, Aur frame bahut chota hai... Muskuraahaton ke peeche chupe huye lafz kaafi nahin, Kyunki ankahe raaz Hain anginat, Aur guzarta waqt nayi yaadein sanjota hai... Rangon se ghulta yeh rishta kaafi nahin hai, Kyunki baatein Hain anginat, Aur Zindagi bahut choti hai... Hamari kahaani jab doosron se sunti Hun main, To kuch guroor bhi hota hai, Jab apne wajood ko tum mein gum hote dekhti Hun main, To kuch hairaani si hoti hai... Yeh bataana kathin hai, Ki tum Kya ho mere liye, Rishte se behen ho, Par Zindagi si ho mere liye, Ek darwaaza ho, Jiske darmiyaan hamesha  sukoon hai, Ek raasta ho, Jiski manzil hamesha rangeen hai... Aaj ka din hai khaas kyunki, Tumhara aaj Janam din hai, Meri bhi Zindagi badalne Wala, Aaj ki taareekh ka yeh din hai, Tum ho keemti kitni, Yeh jataana naamumkin hai, Lekin aaj bataana zaroori hai, Kyunki aaj tumhara Janam din hai... . . . Happy Birthday Di ♥...

Uss raat

Uss raat ki parchaayi, Tumko bhi bhigoti hai Kya ? Jazbaat ki khaamoshi, Tumko bhi jhanjhodti hai Kya ? Jab neend ho aankhon mein, Phir bhi tum jagte ho Kya ? Beete us lamhe ko chhoone ko, Khayaalon ko raah dete ho Kya ? Maujoodgiyon se meri, Tumhare khwaab toot-te Hain Kya ? Ho Kar uski baahon mein, Mera aks dhoondhte ho Kya ? Jalte alfaazon ko jab waqt yeh hawa deta hai, Tum muskura kar yun, bheetar choor hote ho Kya ? Apni roz ki raahon ko, Mere Ghar ki oar ab bhi modte ho Kya ? Ab bhi aankhon mein kaid, Us raat ki khushboo hai Kya ? Aarzoo ka ikraar nahin lekin, Justajoo ka izhaar hai Kya ?

Lamha

Ek lamha tod ke rakha hai, Taqdeer se jhooth sa bol Kar, Tum apna lamha bhi jod kar rakhna, Aankhon mein bandh Kar ke rakhna, Ki waqt ki bauchaar aksar ashq ban jaaya karti hai, Isliye mera lamha apni taqdeer mein piro ke rakhna... . . . Medhavi .