Posts

😒A million emotions In countless orders

Few unsaid words Few hidden riddles Few deep lyrics Few five minutes songs Two separate worlds Two corners in middle Two sinking ships Two journeys lifelong Echoing voices Impossible choices Unexpressed love Destined from above The desire to be painted red The dream to touch the stars The desire to hold the hand The dream to break the bars Writing on the winds Sending letters through changing weathers Smiling in a different way Flying in mid air like a dry leaf as light as a feather One night One love A million emotions In countless orders You and me Unmeant.. non destined You and me Fragrant.. non existent .................................................................................................................................................

Idhar bhi.. udhar bhi...

Kuch adhoori baat hai Udhar bhi Idhar bhi Pighal rahi hai raat Udhar bhi Idhar bhi Kuch dabe alfaaz Udhar bhi Idhar bhi Goonja hua sa saaz Udhar bhi Idhar bhi Faasalon ki shamaa Jal rahi udhar bhi idhar bhi Naamumkinon ki adaa Behki udhar bhi idhar bhi

🤗|Sher|

|🤗कुछ ज़र्रों में बिखरा सा, एक तिनके का ख्वाब था, जहाँ किनारे की तलाश थी, वहीं छुपा सा सैलाब था, कुछ लम्हों की जूसतजू, कुछ क़िस्सों में दफ़्न थी, उनकी कैसे करते आरज़ू, उनका ख्वाब भी ख्वाब था.| ♥️|उन्हे पाना चाहे ज़माना, और उन्हे तमन्ना है हमारी, ज़िंदगी में हासिल अब हर मुकाम है.| ♥️|साँस कतरा कटरा टूट रही है, उन्हे देखने को पलख पलख बेचैन है, जुदाई का उनपर लगा इल्ज़ाम है, मैं गुज़ारिश क्या करूँ मेरे रब से, तुझे मेरी ही दुनिया में करके शामिल, उसने मेरा दामन उजालों से भर दिया.| ♥️|ना जाने कितनी दफ़ा, एक ही ख्वाब हम ने देखा है, फिर अजनबी हो कर, तुमसे मिलेंगे तो क्या होगा.| ♥️|ज़िंदगी के जिस दौर में, तुम हम को पीछे छोड़ गये, उस मोड़ पर आज भी, बीते क़िस्सों की गूँज बाकी है.|

Pending Mulaaqaat

Har raat ka aajkal Kyun rehta hai intezaar mujhe Log kehte hain paagal Lagta hai ho gaya phir pyaar mujhe Aadhi Neend mein bhi  khwaab kyun peecha nahin chorrte tere Milna hai bahut jaldi  yeh soch soch kyun lage guzrein yeh din aahiste aahiste Adhoori mulaaqaatein aur ankahee kitni baatein hain bachi Ab intezaar ki imtihaan jaisi lamhe lamhe ko tokne lagi Shayad jab milenge der tak bas dekhenge ek doosre ko Yakeen dilaayenge ki yeh phir koi khwaab na ho Par tab tak in raaton se karna padega guzaara Shayad yahi faasla jodega raasta hamaara... Medhavi 27.06.15

Pending. Peher...

Woh subha thhi ya raat thhi Na jaane kaisi mulaaqaat thhi... Kuch baatein khatm ho gayi Aur kuch adhoori reh gayi... Woh karwat le kar so gaya Aur mera har zarra kho gaya... Uski kalaayi ki khushboo mein Uski aankhon ke saagar mein Main saari peher bas baith kar ussay dekhti rahi... Kabhi choom li uski aankhein Kabhi palkein uski ginti rahi Kabhi chhoo kar phir yakeen kiya Ki yeh khwaab hi toh nahin... Woh bekhabar sa saamne mere yun hi sota raha Main dekhti kya aayeena Har zarra mera khotaa raha... Maine daayare lagaaye bahut Maine bahaane banaaye bahut Par woh yun hi khaamoshi se Dil ko churaata raha Na jaane kya iraada thha Bas apna woh mujhe banaata raha... Medhavi 18-06-15

🤗Sher

Gum ho jaane ki chaahat hai Uss waqt ke kaafile mein Jahan tujhe taqdeer mein likhna apni Mere haath mein ho Medhavi 16.06.15

kam se kam unko apna ghar mil jaaye

Ghire huye baadal aas ke chehre par Ek mukammal hone ka ehsaas laaye Tere intezaar mein har lamhe ka bhanwar Tujhmein hi kahin humein gum kar jaaye Chalein saath saath saanson ki tarah Juda hon na paayein Tu muskuraaye dur kahin aur is dil par dastak tera khayaal de jaaye Rang koi pehne tu udhar Aur shaam meri rang jaaye Saath rahe na rahe sparsh ka Par ehsaas yun ghar kar jaaye Ki aasmaan mein tera mera ek woh chaand sa dikhe Sitaaron par kuch aise tere mere khwaab tikein Jo adhoore bhi reh jaayein Toh yeh sukoon toh rahe Ki kam se kam unko apna ghar mil jaaye Medhavi 15.06.15