Posts

तू खुद सा था...

तेरी ख़ासियत यही थी, की तुझमें सब तुझ सा था, ना तू था छवि किसी की, ना था तू किसी ख्वाब जैसा, बस था तू अपने जैसा. हर अदा तेरी खुद की थी, ना तू बना किसी के जैसा, तू अपना रब, अपनी वजह है, तुझमें हासिल हो आईना सा, क्यूंकी तू बस खुद की तरह है. तुझे कह ना पाई शायद, या जताने का ख़ौफ्फ था दिल को, तुझे पा कर भी लगता था शायद, खो दूँगी ही यूँ ही तुझको. कभी बनी मैं संगदिल सी, कभी मोहब्बत की बरसात कर दी, कभी रूठ गयी मैं यूँ ही, कभी देख के तुझको इबादत कर ली. मैं बदली लाखों दफ़ा पर, एक ज़ररा भी तेरा ना बदला, यकीन होने लगा वफ़ा पर, क्यूंकी तू ना कभी बदला. तुझमें तेरी ही अदा है, यूँ ही नहीं हर ज़ररा मेरा फिदा है, तेरे सामने से जो गुज़रे, शायद तुझे ना देखे, पर एक लम्हे को ही वो शक़स, मेरी चाहत का हक़ ले ले. तुझे सराआहना मेरी इप्तदा है, इश्क़ की यह इम्तिहान है, मुझे समझो या ना समझो, बस खुद से बनके रहना, बदलने देना मंज़िलों को, पर खुद से बैर ना करना. मेधावी 22.01.14

तुम संग यूँ राहतों का काफिला निकल पड़ा

तुमको पा कर, हासिल करने की, चाहत ना हुई कभी, तुम संग यूँ राहतों का, काफिला निकल पड़ा. तुम्हे देख, छूने की तमन्ना ज़रूर थी, तुम्हे छू जो हवा चली, अरमान मुकम्मल हुआ. तुम्हारा हाथ थाम, दुनिया से दूर चलते कहीं, पर तुम संग यह राहें ही, मंज़िल लगने लगी. तुमको सुन कर, क़ैद करना चाहा, हर लफ्ज़ तुम्हारी आवाज़ का. खामोशियाँ भी कीमती, तेरे संग लगने लगी. तुम्हारी आँखों में, उतरे अश्क़ को करना चाहा रवाना, आँख मेरी कब भर आई, पता ना चला. तुम्हारे होंठों तक, भेजी मुस्काने कई मैने, दुआ-यें भी सब मेरी, तेरे नाम हो गयी. हवाओं के ज़रिए, भेजा संदेस तुझे स्पर्श का, बरसात यह भिगो तेरा दामन, और पाक हो चली. तुमको पा कर,  हासिल करने की, चाहत ना हुई कभी. तुम संग यूँ राहतों का, काफिला निकल पड़ा.

कहीं तुम में ही.

यह हवा, बरखा, बारिश, करेंगे फिर तेरी यादों की साज़िश. यह चंदा, सूरज, तारे, लड़ पड़ेंगे तुझसे सारे. भुलाने की मुझे अगर, तू कोशिश भी करेगा, मेरे ख़याल के साथ, तेरा अश्क़ भी बहेगा. इस हवा को, बूँदों को, चाँदनी को, इन्हे देख, महसूस कर, मुझे छूना हल्के-हल्के, ना राहें बदलेंगी यह, ना आ सकूँगी तेरे करीब मैं चल के. पर कुछ रहेगा मेरा भी जुड़ा हुआ सा तुझसे, कोई किस्सा, या काग़ज़ का टुकड़ा, कोई चीज़, क़िस्सी याद हिस्सा, ना दोष देना मुझे तब, यही सोचना, होश मेरे भी गुम होंगे, कहीं तुम में ही.

🤗|lehar... (2013)|

Leher ka kya hai Choo kar woh kinaara Dariya mein laut jaayegi.. Par kinaare ka kya Jo leher ki boondon ko Dhoop se sookhne na dega... -Medhavi

Pending. Dhundhlaayi dosti

Pehla tha wo rishta, Jo humne khud banaya tha, Sabse mil kar bhi, Humein tu pasand aaya tha. . . Kuch alag tha tujhmein, Jo mujh jaisa tha, Kuch raahat,kuch uljhanein, Aisa apna rishta tha. . . Khamoshi ke palon mein, Hoti thi aksar baatein, Raahi thhe hum sadiyon ke, Yun hi hansi hansi mein, kat jaati thi raatein. . . Kuch intezaar ke lamhe, Jawaab sawaal karte, Hum yun hi badh chale, Waqt ko peeche chode. . . kehte, sang rahenge sada, Wo sada reh gaya khwaabon ka hissa, Raahein badli, Aur kahin hum tum bhi, Kho gaye vaade, Dhundhla gayi dosti. . . Magar tum yaad aate ho, Ab bhi khayalon mein hansa jaate ho, Nami chor palkon par, Fir dosti par yakeen dila jaate ho. . .

Kaafi hai (2012)

Is dil par zor kahan chal saka kabhi... Ab bhi unki aahat par dhadkan ladkhadaati hai.... Manzilon ka aitbaar na ho saka kabhi... Aur unki raah par nazar yun hi theher jaati hai.... Unki aankhon ke jaam na haasil ho..na sahi... Ek nazar hi mil jaaye kaafi hai... Unke honthon ke sagar na choo paaye..na sahi... Ek leher hi mil jaaye kaafi hai... Unki haathon ki garmaahat na ho takdeer mein..na sahi.. Unki ungliyon ki lakeer hi choo jaaye... kaafi hai... Ek arse se ki mohabbat ka anjaam miley na miley.. Un sang ek shaam mil jaaye... kaafi hai... Medhavi 13-12-12

Aadhi raat ki baarish (2012)

Aadhi raat ki yeh baarish.. Yaad dilaati hai.. Kuch khoye huye pal.. Jo pal bhar ko bhigaa gaye thhe.. Nam aankhon ko rulaa gaye thhe.. Kabhi khushi mein toh kabhi ghum mein... Kabhi raahaton mein toh kabhi sitam mein... Aadhi raat ki yeh baarish.. Dil k tukdon ko phir ek saath rakhti hai.. Phir khud hi zarra zarra bikhraati hai.. Hansti hai roti hai..sau sitam kar ke.. Yaad ko uski dil mein kaid sa kar ke.. Aadhi raat ki yeh baarish.. Un aansuon ki yaad dilaati hai.. Jo mere kandhe par dam todte thhe.. Tumhari aankhon se beh kar.. Un kisson ki yaad dilaati hai.. Jab tum hanste thhe saath mere.. Phir wahi baatein keh kar... Aadhi raat ki yeh baarish.. Tumhari hansi ki goonj jaisi hai.. Paak aur sharaarati bhi.. Tumhari har adaa k noor jaisi hai.. Tadpaati hai..rulaati hai.. Phir wahin le aati hai.. Jahaan se bahut pehle aage badh aaye thhe hum.. Yeh aadhi raat ki baarish... Yeh aadhi raat ki baarish... Medhavi 16-12-12