Posts

Showing posts from March, 2024

🫧 yaad

Kabhi kabhi tumhari bahut yaad aati hai,  Phir yeh bhi yaad aata hai,  Ki tum is duniya mein nahin ho. Main aksar in taaron mein tumko dhoondhti hun, Kyunki tum meri nigaahon ke,  Nazaaron mein nahin ho. Tumhari khushboo kuch bhool gayi hun main,  Par tumhari aawaaz har roz sunti hun,  Tumhari aahatein ab sunaayi deti nahin,  Par tumhari baatein yaad rakhti hun.  Kabhi kabhi aisa bhi lagta hai,  Ki tum mera khayaal rakhte ho,  Jab main roti hun tanha,  Tum bebas ho kar mujhko takte ho.  Main kehti hun aksar tanhaayi mein,  Ki saamne aa gaye tum toh main ghabraaungi nahin, Yun akele deewaron se baatein karte karte,  Thak gayi hun kyunki yeh tum Tak pahunchengi nahin.  Tumhe hona tha yahan paas mere,  Jab zarurat thi, ya nahin bhi,  Tumhe jeena tha saath mere,  Par ab chaah kar bhi faayada nahin.  I miss you Abhi.  Rest in Peace. 

nahin suna tha

Ab kabhi tum mil gaye,  Toh shayad mujhe sahi lafz kya,  Sahi Nazar bhi nahin milegi,  Tumse kehne ko ek bhi baat nahin bachi mere paas,  Tumhe yaad kar ke sirf saans lene ke liye har raat baaki hai,  Tum bhool gaye mujhe jab tumhe mujhe yaad rakhna tha,  Tumne mujhe jaane Diya jab tumhe mujhe apne saath rakhna tha,  Ab koi fariyaad, koi ummeed nahin hai tumse,  Aur yahi baat Mera Dil har pal Zara aur todti hai,  Hum kabhi nahin milenge ab kabhi, kabhi saamna nahin hoga tumse,  Aur yahi baat tumhe samajh aayegi, bas thoda aur waqt lagega,  Tumhe bhi yaad aayegi meri,  Aur har darwaaza bandh milega,  Tumhare bhi haath lahu- luhaan honge,  Par koi darwaza nahin khulega,  Main tumhe jitni burri aur galat lag rahi hun abhi,  Utni hi achchi aur sahi bhi lagungi,  Jab koi aur tumse mohabbat se baat karega,  Par tum har shaqs mein mujhko dhundhoge,  Is baar main nahin lautungi,  Aur tum yeh baat...

depression

This is for all those who take depression lightly... Who think that the people around them who smile all the time are happy... Who think depression is overrated... Guys.. I'll just request you to ask once more.. if your friend/relative/colleague/partner/employee etc.is fine or not...  Aaj aayeene pe nazar gayi,  To khud ki muskuraahat kuch jhoothi si lagi,  Mann mein shor tha bahut,  Par aankhein nam na thi. Almaari khol ke dekha,  To har rang feeka sa laga,  Mera peela dupatta bhi,  Aaj saada sa laga.  Samajh na saki kuch der,  To bistar par baith gayi,  Socha Zara der,  Aur Dil tatolne lagi.  Dhoondha har kona par karaar na mila,  Waqt tha, par poochne ko khud se sawaal na mila.  Tayyaar hone lagi to laga, Chehre par aaj kuch na karun,  Kajal se sooji aankhon ko main na bharun,  Rang birange jhumkon se khayaal maun na honge,  Ki aaj ke din bahaanon se main khud ko na behlaaun.  Nikal padi main Gh...

🫧khat

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama na...

🫧Aaj phir unhe sath dekha

👤 gajra

Tere diye gajre ki khushboo se uthi main Aaj subha,  Jab shaam ko lauti toh darwaza kholte hi phir mera kamra mehek utha,  Na chahiye mujhe heere motiyon ki saugaat tujhse,  Tu bas apni aawaaz se bajte jhumke de diya kar mujhe,  Na chahiye sone ke kangan ya haar mujhe,  Tu bas apne haathon se chaantte huye gajre de diya kar mujhe.  - Medhavi  - 03/03/24