Poetry - 🌸



Mujhe lagta hai saath kuch jaldi chhoot gaya, 
Par ehsaas ab tak chootta nahin, 
Subha ka pehla khayaal, 
Raaton ka aakhiri Sawaal, 
Har mausam ki khushboo, 
Aur mohabbat ke maayeene, 
Sab tab bhi tum se thhe, 
Ab bhi tum se kaayam Hain.

Jis mod par tumne manzil Badal di thi, 
Us chauraahe par ab bhi khadde bhi hum *Hain* , 

Ek sagar piroya tha khwaabon ko samet ke, 
Bikhre thhe jo lafzon ke libaas mein, tumhari us laal diary mein, 
Yaad hai tum usmein aksar apne dil ki khaas baatein likha karte thhe ? 

Ek waqt tha jab har panne par naam tha mera, 
Aur kabhi kabhi mujhe yaad kar tumhari aankhon ki nami se kuch lafz bhi dhundhla jaate thhe. 

Mulaaqaaton ka waqt seemit hota tha, 
Aur sagar mein moti se tumhare ehsaas ghulte rehte thhe, 

Kabhi socha nahin tha, 
Ki wo khwaab khud hi todne padenge, tumhara Mudd ke na dekhna kabhi khwaab ke khwaab mein bhi na tha, par tumhara jaana, shaayad maaloom tha,

Tabhi aaj tak tumhari wo baatein, kuch cheezein ab tak hain paas mere, jinse waqt ko kaid sa kar rakha hai yemaine bhi, tumhe nahin aana, ab tumhara intezaar bhi nahin, par wo sagar ab bhi apni maujon mein tumhara naam dohraata hai...

- Medhavi

Ek raat ka afsaana tha bas hamara tumhara, 
Toote baahon mein khwaab wo jo dekhe humne tumhe kho kar, 
Shikve ki wajah nahin thi, kyunki koi vaada na tha, 
Hamara dil todne ka tumhara iraada na tha, 
Phir bhi khoya khud ko bhool kar har daayara yun, 
Jaise hum kabhi alag hi na thhe, 
Kahaaniyon mein aksar mil jaate hain kirdaar tere mere se, 
Kyunki manzil se badhkar kayi baar safar hi kaafi hota hai, 
Koi kehta hai bewakoofi to koi kehta samjhauta hai, 
Aur hum waqt se churaayi us raat ko yaad kar ab bhi muskuraate hain, 
Milte hain to kehne ko kuch nahin hota, phir bhi us raat se bandhi kitni ankahee baatein Hain, 
Jinhe tum na keh sakoge, hum keh na paayenge, 
Issi kashmakash mein shaayad tumko kho dene ki baat kabhi to maan jaayenge.

- Medhavi


Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸