waqt🌸

✨ Kisi jagah ki nahin, kayi baar logon ko kisi waqt mein lautne ki chaah hoti hai. Woh waqt jab hum mein bharosa karne ki, dosti nibhaane ki, mohabbat karne ki himmat hoti thi. 
.
.
Dil toot jaane ka darr nahin hota tha. Shaayad apne teenage years mein hum sabse paak hote hain, hum mein mohabbat karne ki koi kala nahin hoti, bharosa tootne ka darr nahin hota. 
.
.
Himmat hoti hai aazaadi se cheezon ko mehsoos karne ki aur kayi baar khul ke bol dene ki. Us waqt shohrat, daulat, kaam, samaaj, kisi cheez ka hosh nahin hota. Bas bahut hi khoobsoorati se hum har rishta banaate hain aur nibhaate hain. Phir duniyaadaari ki samajh dheere dheere hoti hai. 
.
.
Jab koi dost daga deta hai, tab pehli baar dil toot-ta hai, jab apni zindagi mein wo nahin kar paate jiski chaah thi, tab phir toot-ta hai. Phir pehla pyaar hota hai, jismein aadhe se Zyaada baari dil toot-ta hi hai. Pehli baar har baar jaisa lagta hai. Mohabbat karne ki, bharosa karne ki, himmat toot-ti hai par khud par bharosa badhta hai. 
.
.
Par pehle si mohabbat, pehle si dosti, pehle sa bharosa, kya koi phir se kar paata hai ? Main to us waqt mein lautna chahti hun, jab darr khone ka nahin, ummeed paane ki hoti thi. Dosti matlab ya aukaat se nahin, dil se hoti thi. Mohabbat mein jaayaz wajah dhoondhi nahin jaati thi. 
.
.
Bahut saaf si, saadi si soch thi, bematlab madad karna ek aadat thi. Us waqt mein lautne ki chaah hai, mujhe khud se wahin milne ki chaah hai. 
.
.
- Medhavi 

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸