🚩Yun hi

Sab kuch 'Yun hi' tha beech hamare,
Message usne 'Yun hi' Kar Diya tha,
'Main Hun sabse alag' bas 'Yun hi' keh Diya tha,
Hai karni bas dosti mujhse, Yun hi keh Diya tha,
Milenge hum to aisa hoga, waisa hoga, Yun hi keh Diya tha,
Jab Miley hum to yun hi hansaa Diya tha,
Jab jaane lage, gale Yun hi lag liya tha...
Hun main apni tasveeron se bhi khoobsurat,
Haan yeh bhi shaayad Yun hi keh Diya tha...
Karne lage baatein hum,
To Humsafar, Yun hi keh Diya tha,
Mera naam usne ek Yun hi rakh Diya tha,
Kuch din mein jaan bas Yun hi keh Diya tha,
Aur Milne par haath Mera Yun hi pakad Liya tha...
Tha shaant Jo samundar, usay Yun hi chedd Diya tha,
Hasaa Kar mujhko usne,
Chaand ka rukh Yun hi badal diya tha...
I love you bhi ek din yun hi keh Diya tha,
Kyun nahin kehti Hun main bhi Yun hi pooch Liya tha,
Khwaabon mein usne ghar Yun hi Kar liya tha,
Khayaalon par bhi kabzaa Yun hi Kar liya tha...
Aisi bachkaani harkatein Kar Kar ke,
Dil Mera Yun hi Jeet Liya tha,
Phir aaunga Milne main Kal,
Mil Kar phir yeh bhi, Yun hi keh Diya tha...
Hua jab pyaar mujhe bhi uss se,
To mere kehne par,
mujhko hi hansi mein Yun hi udda Diya tha,
Aur koi hai ab uski Zindagi mein,
Yeh bhi bas Yun hi keh Kar palkon ko bhiga Diya tha...
Kya hua, koi vaada to nahin tha,
Hum to sirf dost Hain, Yun hi keh Diya tha,
Uski aadat ko Meri Zindagi se,
Ek din yun hi usne badal diya tha...
Ab sochti Hun to samajh mein kuch kuch Yun hi aata hai,
Hamari kahaani ko wo bas Yun hi likh Raha tha,
Kirdaar uske, waqt uska, Dil uska aur mohabbat bhi uski,
Bas Mera naam usne likh Kar Yun hi mitta Diya tha,
Ek aur shaqs sa ban Kar,
Raasta usne Yun hi badal liya tha...
Main Yun hi thi kuch uske liye,
Aur wo bahut kuch ban Gaya tha,
Shaayad pyaar nahin tha mujhe us se,
Yeh afsaana bas kuch 'yun hi' ka silsila tha...

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸