Lamha

Ek lamha thamaa hai ab tak,
Kahin waqt ki bheed mein,
Guzar gaya hai kab ka,
Hamare tumhare beech mein,
Phir bhi atki huyi hai tamanna wahi,
Jo thodi dhundhli bhi hai aur saaf bhi,
Goonj rahi hai sarhadon par ek aawaaz bhi,
Lautne ki guzaarish Kar nahin sakte,
Aur ruk tum ab sakte nahin,
To kuch mulaaqaaton se churaa lene do mujhko lamhe kuch toote foote,
Ki lamha thama hai ab bhi wahin,
Jab aakhiri daffa kahaani shuru huyi thi,
Tum aage badh Gaye the,
Main wahin ruki huyi thi,
Yahi kehna tha shaayad tumse,
Ki Ek lamha thamaa hai ab tak,
Kahin waqt ki bheed mein,

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸