Posts

Showing posts from April, 2018

🚩Meant to be

When I'm in your arms, my soul smiles and my heart breaks, because I feel complete, but I know it's not meant to be.

Pehle si mohabbat

Pehle si mohabbat Jo bhool chuke hain lafz mere, Tumhe soch aaj na jaane kyun ghazal bane baithe Hain.

Lamha

Ek lamha thamaa hai ab tak, Kahin waqt ki bheed mein, Guzar gaya hai kab ka, Hamare tumhare beech mein, Phir bhi atki huyi hai tamanna wahi, Jo thodi dhundhli bhi hai aur saaf bhi, Goonj rahi hai sarhadon par ek aawaaz bhi, Lautne ki guzaarish Kar nahin sakte, Aur ruk tum ab sakte nahin, To kuch mulaaqaaton se churaa lene do mujhko lamhe kuch toote foote, Ki lamha thama hai ab bhi wahin, Jab aakhiri daffa kahaani shuru huyi thi, Tum aage badh Gaye the, Main wahin ruki huyi thi, Yahi kehna tha shaayad tumse, Ki Ek lamha thamaa hai ab tak, Kahin waqt ki bheed mein,

Aarzoo

Woh choo Kar humein us raat Bhool Gaye agli subah Jise Maine samjha shuruwaat Woh thi unke liye bewajah Chand lamhon ke liye Jab maine khud ko aazaad paaya tha, kho Kar panaahon mein unki Hosh hi nahin, yeh Dil bhi gawaaya tha, Woh unke liye bas kuch fursat ke pal thhe, Hum bhi unke guzarne wale Kal thhe Unke Honthon ki haraaratein Jo Meri saansein ab Tak bhooli nahin Unke jism ki khushboo Jo ab Tak mere us raat ke kapdon se chhooti nahin Uski ungliyon ki chuan Jo Meri ungliyon ko zabaani yaad hain kisi aayat ki tarah, Aur woh raat Jo nibhaayi maine sachchi mohabbat ki tarah, Unke liye bas woh ek behka hua lamha tha, Mohabbat ki sejh par khwaab mera hi Tanha tha... Unki maujoodgi theher si gayi ehsaason mein zindagi ki tarah, Ab saans aati hai to unke ehsaason ko choo choo Kar, Ki unhone samjha nahin kaabil e mohabbat humko, Aur hum unke naam Yun hi apne saare khwaab Kar aaye... Ab naasamjhi kahiye ya deewanagi isko, Ki kuch haasil nahin, na-ummeed hai Dil bhi,

Taareekh

Agar hamari kahaani ko mukammal hona hoga, to koi mausam, koi mushkil, koi ranjish, koi iraada, koi waqt, koi shaqs humko todd nahin paayega. Magar agar sitaaron sa toot kar hi humko zindagi ko mukaam dena padda, kisi daur mein aa kar koi faisala lena padda, To yaad rakhna ki mohabbat pehle bhi thi, ab bhi hai aur umr bhar rahegi, Maujoodgiyon ki bas zara kami si rahegi, taareekein dohraayengi khud ko, saal badalte rahenge, hum bhi alag raahon par Chalte rahenge, Par har solaah october ko jab din ka ek pal tham sa jaayega, Aur guzre waqt ka aayeena saaf nazar aayega, to bas muskuraana yahi yaad Kar ke, Ki taareekh mujhe bhi yaad hai aur hum tum ab bhi ek dusre ki Khushi ka bahaana Hain.

🤗Khaali

Ek tasveer nigaahon mein utaarte utaarte, Ek jhoothi zindagi guzaarte guzaarte, Aaj thak gaye hausale, sehem gayi ummeedein, Aur tham gaya aakhiri ashq bhi palkon par, Ki ab zindagi mein zindagi nahin rahi, Chhan ke muskuraahatein bhi gir gayin, Khud ka bhi ab sahaara na Raha, K Kuch iss kadar mohabbat Zindagi ko khaali Kar gayi.... -Medhavi

🚩Depression

The worst thing about depression is that you might not even notice it. You might never be able to pin down your chronic sadness, your habitual dislike of socializing, your short temper to depression. Chances are you have, like others, internalized the most common reaction to it – “get over it”. Depression is seen as a first world problem, a sign of mental or emotional weakness. We try to brush it under the carpet, living in denial and telling ourselves it's just a phase. Truth is depression can affect anybody; in fact, people with a higher level of resilience and strength are even more prone because they hold up for as long as they can, stretching their tolerance limits to the extreme. Giving up is not an option. And when it hits, it hits hard. With the kind of work stress, social media pressure and fragmented relationships we have in the modern world, depression is all too real a thing and means that you are only human. You might be good at what you do, you might be decently su

🚩|When|

When you can't sleep and the past replays on loop, When the night is young but your thoughts are old, When you can hear the fading tick tocks of the clock and silence screams, When you are tired and sleepy but still scared of your own dreams, When the dust on the window pane becomes your mid-night concern, When the careless whispers of the night become conversations, When you are lonely, But act mature and don't admit, When you want to cry, But act brave and don't break down, Let the night speak to you when you refuse to listen to yourself, Let your regrets fade off and allow yourself to laugh at them, Let your anguish empower your wisdom for a while, Let your madness overpower your sanity for once... Medhavi 07.04.17