यादों की दराज
छू कर देख सकते यादों को तो कैसा होता,
कुछ मेरे कमरे की उस दराज के जैसा होता,
उस दराज में गुज़रे वक़्त के कुछ पुर्ज़े बिखरे पड़े हैं,
बचपन से ले कर जवानी तक के लम्हे जमे हुए हैं.
कुछ पुराने खत, कुछ काग़ज़ के टुकड़े,
कुछ राज़ की बातें, कुछ खोटे सिक्के,
बिन बात के दिए हुए कुछ तोहफे,
और कुछ यूयेसेस वक़्त के अधूरे सपने.
जब जब इन चीज़ों को देखती हूँ मैं,
जैसे बचपन से फिर मुलाक़ात हो जाती है,
इनको यूँ ही हाथों में ले महसूस करती हूँ मैं,
और खुशी से आँख भर भी आती है.
कुछ घम भी है क्यूंकी वक़्त ने कुछ यारियाँ धुँधला दी,
पर खुशी ज़ादा है क्यूंकी सच्ची यारियाँ सवार दी,
यह दराज मेरी सबसे कीमती चीज़ है,
क्यूंकी इसमें बिखरी अनगिनत यादों की गठरी है,
जो मुझे मेरे बचपन, मेरी जवानी से बाँधे रखती है,
मुझे याद दिलाती है की कुछ चीज़ें बदल जाती हैं, और कुछ कभी नहीं बदलती,
कुछ बातें भुलानी पड़ती हैं, और कुछ यादें बना कर सवार्णी पड़ती हैं,
मेरे बचपन का पुलिंदा, मेरी जवानी की कहानी,
यह दराज है मेरी ज़िंदगी की सबसे खूबसूरत निशानी.
Yaadon ki daraaj...
Chhoo kar dekh sakte yaadon ko toh kaisa hota,
Kuch mere kamre ki uss daraaj ke jaisa hota,
Uss daraaj mein guzre waqt ke kuch purje bikhre padde hain,
Bachpan se le kar jawaani tak ke lamhe jame huye hain,
Kuch puraane khat, kuch kaagaz ke tukde,
Kuch raaz ki baatein, kuch khotte sikke,
Bin baat ke diye huye kuch tohfe,
Aur kuch uss waqt ke adhoore sapne,
Jab jab in cheezon ko dekhti hun main,
Jaise bachpan se phir mulaaqaat ho jaati hai,
Inko Yun hi haathon mein le mehsoos karti hun main,
Aur khushi se aankh bhar bhi aati hai,
Kuch ghum bhi hai kyunki waqt ne kuch yaariyaan dhundhlaa di,
Par khushi zaada hai kyunki sachchi yaariyaan sawaar di,
Yeh daraaj meri sabse keemti cheez Hai,
Kyunki ismein bikhri anginat yaadon ki gathri Hai,
Jo mujhe mere bachpan, Meri jawaani se baandhe rakhti Hai,
Mujhe yaad dilaati Hai ki kuch cheezein badal jaati hain, aur kuch kabhi nahin badalti,
Kuch baatein bhulaani paddti Hain, aur kuch yaadein bana kar sawaarni paddti Hain,
Mere bachpan ka pulinda, Meri jawaani ki kahaani,
Yeh daraaj Hai meri Zindagi ki sabse khoobsurat nishaani...

Medhavi
07.05.17
07.05.17
Comments
Post a Comment