Edit.Tumhe bhulaaya hi kab....*


Kyun bhulaayi huyi woh kahaani yaad aayi
Aaj Na jaane kyun yun hi tumhari yaad aayi
Mohabbat karni seekhi tumse
Aur shaayad toot kar tumse hi ki thhi..

Raahein ho gayi judaa lekin
Na jaane kyun aaj soch tumko, muskaan si labh pe aayi...

Woh bachkaani si baatein aur anginat yaadein
Kyun laut aayi aaj zehen mein bewajah
Woh choti choti cheezein aaj phir utha ke Dekhi
aur khud se phir se poocha
Kyun tumhari yaad aayi...

Hanste hanste jab aankhein Nam ho jaati thhi
Aur bin soche samjhe bas hate guzar jaate thhe
Ek dusre mein gum hum jaise duniya kahan dekh paate thhe
Ghar se bewajah bas yun hi nikal jaate thhe...

Tum rehte ho shaamil ab bhi meri har haar Jeet mein
Kabhi chaah kar bhi Na de sake tumhe koi bad-dua hum
Deewanagi kahein ya bas be-intehaan mohabbat
Laut ke dekho sadaa tum par hi aake thehri
Hum nikal chuke hain aage aur woh waqt guzar chuka hai
Phir uss waqt ko pakadd kar muskuraane ki haq ab bhi hai mujhko
Socha aaj kar dein shukriya ki kam se kam yeh toh aaj bhi mera hai
Zindagi mein kahan kuch hai haasil, aajkal toh apna jism bhi paraaya sa lagta hai...

Itne waqt se khud ko dete rahe tassalli
Ki Laut ke yeh baatein phir Na yaad aayengi
Phir aaj bas yeh soch hum Hans padde
Ki tumhe bhulaaya hi kab Jo yaad nahin aayegi...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸