Edit. Aayeena..*

Nikle thhe Ghar se aayeena khareedne hum,
Khud se mulaaqaat huye ek arsaa guzar chuka thha. Thhe aayeene Ghar mein kitne magar darmiyaan ek parchaayi si thhi, Apne gunaahon ko Maine kayi baar jinmein dekha. Mittaana chaaha Jo unko toh haath kabhi chhile toh kabhi jal gaye. Khud se saamna karne se phir hum katraane se lage. Phir socha shaayad aayeene ka kasoor hai, Naye aayeene ki hum ko zaroorat hai. Nikle bazaar mein toh har aayeene ke saath woh parchaayi bhi chalti rahi, halki dhundhli par, baar baar gunaahon ko yaad karaati rahi. Samajh gaye hum uss pal ek baat zindagi ki, khud se peecha churraana badda mushkil hai. Karam hon achche toh parchaayi dhundhlaane lagti hai, warna baar baar khud ko khud se daraane lagti hai ... Koi aayeena Na Mila mujhko jismein dekh khud se nazar main Mila paayi.. phir samjha ki khattaayein Jo ki hain jaane anjaane mein, unko sahi karne ka waqt aa chuka hai. Khud se takraane ka waqt aa chuka hai. Khud ko paane ka waqt aa chuka hai.

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸