❌Kaagaz ka tukdaa...*

Jab zindagi ko noor dene wali mohabbat,
har rang udda le gayi,
Dil ke darwaaze par ek koraa kaagaz uddta sa aakar phir dastak dene laga.
Utha kar dekha,
toh yaadon ki syaahi se lamhon ki daastaan likhi thhi.
Hum na uss kaagaz ko phaad sake,
Aur na jhanjhodd kar lamhe uss se jhaad sake,
Bas yun hi ulat palat kar dekh,
phir se mod marod ke rakh liye apne paas....

Jab jab yaad aate thhe woh guzre din,
Hum un kisson ko phir se dohraate thhe,
unn kori yaadon ke zariye.
Lekin phir unka vaasta, saanson se bandhne laga,
Juda ho chuke thhe hum,  phir bhi kareeb guzre kal se karne laga....

Ek din woh kaagaz ka tukkda,
apne kamre ki ek daraaj mein andar ghussa ke rakh diye,
Aur phir dabe paaon apne hi kamre se Choron ki tarah nikal gaye,
Jaise khud se chori kar ke khud se bhaag rahe thhe,
Na jaane iss neend mein kiske khwaab mein jaag rahe thhe...

Rangon ka sunehra - pan soona sa lagne laga,
Ghum apni fitrat se majboor laut ke aane laga,
Zindagi jaise theher ke reh gayi,
Kisi sawaal ka jawaab Na mil saka,
Woh kya dete saugaat humein,
Humein toh unka khwaab bhi Na mil saka...

Medhavi
20.05.16

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸