Pending. Mohabbat ka woh naam bhi tha...

Kuch mukkammal sa tha,
Kuch toota-bikhraa sa,
Kuch raunakon se ghiraa tha,
Kuch kamron mein bandh sa,
Ehsaas sa tha,  Ilzaam bhi tha,
Mohabbat ka woh naam bhi tha...

Woh khaffa hua, ya juda hua,
Gunehgaar woh tha, kyun khuda hua,
Sawaalon se ghira tha woh,
Ya jawaab sab ussi ke thhe,
Hairaaniyaan mujhe hain kyun,
Iraade uske na thhe pata mujhe...

Na bhool saki, na rooth saki,
Na de saki naam isay bewaffai ka,
Na aage badhi, na ruk saki,
Na raah koi chun saki main uske baad,
Woh muskuraa kar sab kuch todd gaya,
Andhere peeche yun chorr gaya,
Ab ujaale bhi lagein dhokhe mujhe,
Har zarra mera yun roke mujhe,
Tere baad na kar saki mohabbat main,
Na de saki khud ko ijaazat main...

Tu rahega jahan, needein tujhse bhaagengi,
Tu so jaayega shaayad, par ummeedein mujhmein jaagengi,
Teri har raah mein ek kadam mera bhi hoga,
Tu chalega tanha par aahatein meri aayengi...

Medhavi
29.03.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸