Pending . Ek hazaar...

Ek hazaar baatein har roz sochti hun
Jo karni hongi tumse har roz sochti hun
Dohraati hun kuch baatein
Phir zehen se mitaati hun
Iss tarah poore din main
Sirf tujhe soch k bitaati hun
Ek hazaar saansein har roz behekti hain
Naam tera le kar pal pal yeh mehekti hain
Samjhaati hun kuch khud ko
Phir khud ko behelne deti hun
Iss tarah main khud se
Kuch jhoothe vaade kar leti hun
Ek hazaar sapne har roz main dekhti hun
Khud ko tere saath hi main sanjo k rakhti hun
Taqdeer ke faislon se pare
In katron ko main samet-ti hun
Iss tarah ek aashiyaan main
Khwaab sheher se khareedti hun
Ek hazaar kisse ek mulaaqaat se nikaalti hun
Jo baat ek baar huyi thhi uspar phir se main hasti hun
Jo raah kahin nahin nikalti
Uss raah par manzil ki talaash hai kyun
Jiss baat ka koi wajood nahin
Ussi baat se shuru har khwaab hai kyun
Jo lafz tujh tak pahunchenge nahin
Uss khaamoshi mein aawaaz hai kyun
Jiss hadh se hum guzrenge nahin
Uss daayare se pare yeh ehsaas hain kyun
Ek hazaar baar yeh sawaal khud se poochti hun
Ek hazaar baar main pyaar tujhse hi karti hun
Ek hazaar baar ummeedein toot-ti hain
Aur ek hazaar baar main khwaab tera dekhti hun
Gina nahin kabhi magar shaayad ginti nahin hai in baaton ki
Jo khayaal hain anginat se tere
ban gaye hain saugaatein meri raaton ki
Ek hazaar mere armaan hain tujhe le kar
Adhoora jinhe rehna hai
Taqdeer ka faisala hai
Phir bhi ek hazaar shayaad yeh kaafile hain
Jinse guzarte mere ek hazaar raaste hain
Shayad guzarenge tujhse hokar
Shayad dhundhle se honge
Samjhenge tab tak ghazal sa tujhko
Aur mohabbat karte rahenge...

Medhavi
25.02.15

Comments

Popular posts from this blog

oas ๐ŸŒธ

ghum ๐ŸŒธ

neend ๐ŸŒธ