Pending. Yaari...

Bahut se kisse zindagi ke
Bahut se hisse zindagi ke
saath humne guzaare
Bahut se lamhe ghum khushi ke
yaari thhi apni kuch aisi
is jahaan se kuch juda si
kahan parwaah thi kissiki
apni alag hi ek duniya thhi
ghar se nikalna bin matlab ke
waqt ka na bin samjhe soche
bas kissi raah par yun hi
manzilein milti thhi chalte chalte
waqt aaye achche aur burre bhi
hum chale saath aur ruke bhi
phir aa gaya wohi manzar
toot ke jab sab bikharna thha
ek do choti si baatein
na ho saki mulaakaatein
aur yaari apni dhundhli si paddne lagi
tu mujhse aur main tujhse bichaddne lagi
ek khaamoshi ka lamha woh aakhiri thha
jo tha nakaami ka saboot apni yaari ka
phir huye juda aur mil na sake hum tum
yun hi nayi raah pakad chal diye hum tum
ab yaad aate ho tum
toh muskura dete hain hum
jahan bhi hoge tum
khushi ki duaa karte hain hum
bas afsos sa hota hai
jab jab woh lamha yaad aata hai
kyun na roka tumhe maine jaane se
kyun tootne di yeh yaari kissi bahaane se
par phir muskuraa kar samjhaati hun khud ko
kuch log milte hain yun hi bichadd jaane ke liye..
03.09.13
Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸