Posts

people 🌸

There are different kinds of people in our lives.  Every other person serves a purpose.  The first step towards attaining peace is to remove those people from your life who don't serve a purpose in your life.  The second step is to classify and assign labels to the people who exist in your life. The labels can be as per you and your relationship with them. Some are needed in your hard times, some need you in their hard times. Some always speak highly of you before others but tell you when you're wrong in private. While some pretend to be your well wishers and don't leave a single chance to let you down. So, it's totally your call to understand and decide which amongst them are important for you and who you give power to in order to affect you, your mental health and your life.  The third step is to always make sure that you surround yourself with people who are positive, if not towards you then at least towards life. Because such people teach you the best lessons. Re...

intezaar🌸

Hum toote kayi dafa tere intezar mein, Dil toh tune pehle hi tod diya tha,  Par hausalon ko tune baar baar toda Hum bilkre kayi dafa tere pyar mein,  Sath dene ka vaada toh tune kabka tod diya tha, Par yeh hath pakad tune baar baar chodda Kabhi tera mann badalne ka,  Toh kabhi sahi waqt aane ka,  Kabhi tere waqt nikalne ka,  Kabhi tere waalpas aane ka,  Humne bahut intezar kiya Ab nahin hota intezar, Na tere lautne ka,  Na chodd jane ka,  Ab sirf intezar hai mujhko,  Khud ko wapas paane ka.

appeal sher🌸

Humne dil ko behlaaya bahut, Aankhon ko thakaaya bahut, Par khayaalon ne daraana na chodda, Humne khud ko samjhaaya bahut. Har raat kaatne ko daudne lagi,  Buri yaadein zehen mein lautne lagi, Khud se khauff sa lagne laga,  Dard ka dariya aankhon mein bharne laga.  Khayaal aaye bahut se khud ko saza dene ke, Ek aur mauka nahin, khud ko ek daga dene ke, Par kisi na kisi wajah ne rok liya,  Guzre achche waqt ne bahaane se tok diya.  Par shayad kal yeh bahaana na chale,  Khud se shayad khud ko dil bacha na sake, Isliye agar koi in lafzon mein chupe sannatte sun sake, Toh bas baat karne ki ek pahal zarur kare. Kyunki log sochte Hain ki kisi shaqs ke paas, Shayad lakhon hain baat karne ko,  Par asal mein kayi baar sabse tanha  woh shaqs hi hota hai. - Medhavi  25/09/23

👤shayari

Kayi din se usne mujhe gulaab nahin diye,  Yeh baat mujhe Aaj yun hi ek kaante si chubhi.  - Medhavi👤 Us din andhere se chhanti roshni mein uski aankhon ka noor kuch aisa chalka,  Ki ab tak utaar rahi hun main woh lamha katra katra shayari mein apni.  - Medhavi👤 Jab mohabbat ke saath intezaar judda ho,  Tab insaan aksar mukar jaaya karte hain.  Medhavi  17/11/24👤 Yeh ashq ab aate jaate logon ka tamaasha ban gaye hain,  Bas teri aankhon mein utarne ki inki aukaat nahin... Medhavi 05.11.15 👤 तुम हमेशा वो एहसास रहोगे ,  जिसे शायद मैने हद से ज़्यादा मेहसूस किया .. मेधावी 19/10/18 👤 Us se jo kuch main keh na saki, Kayi arse tak maine dil mein rakha,  Na shikve thhe, na shikaayatein thi,  Maine sirf apna pyaar apne dil mein rakha... - Medhavi 👤 Ek khaas muskurahat si aa jaati hai woh lamha soch kar,  Jab mujhe pata hota hai ki sirf kuch seediyaan utar ke mujhe uska deedaar hoga. - Medhavi 👤 Uske baalon mein aksar mai...

tanha🤞

Maine raah dekhi uski uske saath rehte huye,  Usne itna tanha kiya mujhe ki meri parchaayi se bhi ab meri banti nahin. -  Medhavi

likhna🌸

Maine likhna chodd diya tha, Kyunki jhooth mujhse likha nahin jata tha,Aur sach uss se padha nahin jata tha. Woh aksar bahaane dusron ke deta tha,Par kabhi yeh nahin poochta tha,Ki aisa kyun likha?Kya tum itne dard mein ho? Main kya kar sakta hun tumhare liye ? Agar main yeh na karun toh kya tumhe Khushi hogi? Aaj likh rahi hun, kyunki pata hai ki woh yeh nahin padhega shayad kabhi, Aur jab bhi padhega, toh shayad samajh sake ki mujhe likhna pada kyunki usne kabhi suna nahin. -Medhavi 

khaamosh 🤞

Woh kehta tha humein nazar lag jaayegi, Isliye tumhari tasveer duniya ko nahin dikhaata, Aur har dusre din kisi aur ke saath apni tasveerein lagaata tha.  Bahut waqt lag gaya yeh samajhne mein,  Ki main uske saath tasveeron mein khadi thi,  Par shayad usay hamare rishtey se Sharm aati thi.  - Medhavi 10th July 23