Posts

dhoke ✌️

Dhoke bahut se khaaye hain zindagi mein, Par tera yeh dhokha sabse haseen hai... Dekhne mein dilkash,  Baatein sunehri, Chu jaayein agar toh pighla de,  Rooth jaayein agar toh mana le... Par kya sach hai aur kya mirage,  Toota darpan haj aur do pal ka saath,  Kuch yakeen hai aur kuch kashmakash, Toota dil aur ummeedein bhi behadh... Par dhoke ne tere saara rasta saaf kar diya, Humne bhi tujhe chunne ke liye khud ko maaf kar diya... - Medhavi 

kankad🌸

Us Kachchi sadak ki marammat aaj hote dekhi Jiske kankaddon se humne Yun hi khela Tha kabhi  Khoobsurat lagegi shaayad ab woh puraani gali  Par sawaal phir bhi Dil mein aaya mere puraana wahi  Woh kankadd ab bhi tumhari daraaj mein padde Hain Kya ?  Unki dhool ab bhi tumne bachaayi rakhi Hai ?  Ya is nayi sadak ke banne se bahut pehle  Tumne Meri tarah Meri har yaad bhi bhula di hai Medhavi

forgiveness

Forgiveness  Forgiving someone for causing you hurt / damage / loss is often argued by different people. There are people around us who keep telling us to let go and forget what happened. But do we really forget ?  Nobody can feel the hurt / pain that someone caused you. Yes, they can be empathetic, they can be kind enough to listen to you and of course they can lend you a shoulder to cry on or an ear to listen and absorb your grief. But feeling it exactly like you is impossible.  Forgiveness is very subjective. It depends on how important a person is / was, what kind of hurt they caused and what damage you incurred as a human being, emotionally, physically or both in some cases.  And here are some myths about forgiveness that often people tell us with the belief that forgiving someone always makes a person feel better. It does. It surely does, but in its own sweet time. Sometimes you forgive after you heal from a trauma and sometimes you can't even after getting ful...

👤Lohri ki raat

Woh Lohri ki raat kuch alag thi, Dil ki geeli lakdiyon par, Darr mein lipti, mohabbat ki sarhad thi, Zara aag thi kashmakash ki, Zara hawa thi asmanjas ki, Aur do jism thhe, pal pal pighalte huye, Puraane gaanon mein dhalte huye,  Ek khwaab ko sach karte huye,  Us Lohri ko sabse khaas Lohri banaate huye... Woh raat phir guzar gayi, Ummeed bandh kar bhi bikhar gayi, Khwaab jee liya par khwaab hi reh gaya, Aur woh musafir laut kar apne Ghar gaya... - Medhavi 11/04/23

sheher🌸

Mera sheher tune loot liya kuch is tarah, Ki har jagah, har mausam mein teri yaad hai,  Har subha, har shaam mein teri hi baat hai... Tujhe bhool jaaun bhi main, par kis tarah, Mere zehen mein tere dhoke ki saugaat hai... Har din sochti hun, aaj aakhiri din chahungi tujhe, Har dua se pehle sochti hun, ki aaj na maangungi tujhe,  Par bhoolna itna aasaan kahan hota hai... Har din kuch aur toot kar aage badhti hun main,  Tu chhoot kar bhi chhoota nahin aisa lagta hai, Phir bhi har din tujhe phir se choddti hun main.  Medhavi  09/04/23 . . . . #SadShayari #Poetry #Shayari #PoetsofInstagram #WritingCommunity #Poets #poetrycommunity

bediyaan 🌸

Usay uddna pasand tha, Mujhe bandhe rehne ki aadat thi.. Ghum ne usay kabhi na chhua tha, Aur mere paas zakhmon ki saugaat thi.. Usay chaand dekhna pasand tha, Mujhe toot-te taaron par yakeen tha.. Uski zindagi mein sach ka darwaaza bandh tha, Aur main jaanti thi ki taqdeer se laddna befizool tha.. Uski Khushi mere saath thi, Par sukoon uske sheher se tha... Mere pairon mein bediyaan thi, Aur usko mere saath uddna tha... Toh maine ek din usay aazaad kar diya, Aur usne mere ishq ko dhoke ka naam diya, Shayad mujhe samajhna na aasaan tha, Isliye maine uske ilzaam ko yun hi maan liya. - Medhavi  25/03/23

Aaj unhe phir saath dekha🌸

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama na...