Posts

🫧little Things

Life is all about the way we look at things, it's all about our perceptions that eventually decide how our view is going to be. It can be as grand as the ocean or as tiny as a sprinkle of sugar.  It's all about how we choose to look at things and what role we decide for ourselves. The role that interplays along with our different moods and phases, good and bad days, hard and fun times; we may never realize but we often role play with ourselves.  We wear masks of a smiling face and lie incessantly about being alright. But at the end of the day, it's all about how well we played our role and who caught our real self, yes that's the person you gotta keep close ! But don't forget to keep looking at and towards the brighter side, and new reasons to smile, because in the end, it's all about the little things.

kaagaz

Likhne ki tujhe ki koshishein hazaaron,  Par khud se badhkar tujhe mehsoos karne ke ehsaas ko,  Kaagaz par utaarne ke liye lafz kam padd gaye...

lafz

Likhne ki tujhe ki koshishein hazaaron,  Par khud se badhkar tujhe mehsoos karne ke ehsaas ko,  Kaagaz par utaarne ke liye lafz kam padd gaye...

👤tayy

Tumhe aana bhi tha, aur jaana bhi tha, yeh pehle se tayy tha,  Bas sab de kar jaaoge, par khaali humko kar jaaoge,  Yeh socha nahin tha...

Haqeeqat✌️

Ek lamhe mein simte huyi,  Sadiyon ka khwaab ho, Anginat sawaalon mein uljhi,  Kya tum duaaon ka jawaab ho,  De kar jaa rahe ho woh pal,  Jo na bharega, na khaali reh sakega,  Guzrega waqt, aayenge kal,  Par woh pal nigaahon mein thamaa rahega,  Ummeed rakhne ki taqdeer ki haiseeyat nahin hai,  Ishq ke parindon ki aasmaanon mein keemat nahin hai,  Phir milenge shaayad hum bhi,  Sahi aur galat ke pare,  Is zindagi ki maaya mein sab sahi hai, bas hum Haqeeqat nahin hain...

🌸berukhi🤞

Teri berukhi ko mohabbat ka naam dete dete,  Khud ko nakaamyaabi ka ilzaam dete dete, Thak gaye hain hum bhi, Aur toot gayi hai himmat bhi ab, Is ek - tarfa chingaari ko aag ki pehchaan dete dete... Medhavi 05.11.15

poem for Nidzee

Poem for Sneha Chandra 💟 Thanks to Kaustubh Belur for the brilliant idea ! 😃 Ek pyaare dost ne kaha itna achcha likhti ho tum,  Toh kam se kam aaj ke liye kuch likhna toh banta hai... Toh Aaj socha ki yaadon ke bakse ke kuch kisson ko dhoop dikha dun,  apni behen ki shaadi par unki unke guzre bachpan se phir mulaaqaat Kara dun,  phir socha kahan se shuru karun,  kyunki yeh safar jitna unka hai, utna mera bhi hai, aur yaadon ke iss bakse ka ek hi pata hai - Hum... Ghar ke badde-buzurg bataate hain,  aur kuch tasveerein bhi gawaah hain,  ki hum pehli mulaaqaat se hi, Ek doosre ke khayaalon ko zubaan diya karte thhe... Sab jab ek saath baith kar antaakshari khelte thhe Hum Ghar ke kissi kone mein saath baith kar khwaab bunte thhe... Bachpan se le kar ab tak ka waqt itna khoobsurat aur yaadgaar raha hai,  ki samajh nahin aata kaun se kisse ki baat pehle karun.. Garmiyon ki chuttiyaan Aur mitti ke Ghar Nani se suni woh kahaaniyaan Aur Meerut wale Ghar ki ...