Posts

đŸ‘¤nasha

Sharaab se ab nasha nahin hota mujhko Tu tasavvur mein kuch is kadar rehta hai Ki kadam saath nahin dete kabhi kabhi Par tera khayaal har saans se yeh kehta hai Bhula do mujhe agar bhula sako Mitta do woh lamhe agar mitta sako Par hum rahenge yahin ghar basaa kar Khayaal khayaal par kabzaa kar Tadpaayenge bhi, sataayenge bhi Aur phir muskuraake naam tumhara pukaarenge Ki kya karein shikaayat unki khuda se Unki barbaad karne ki bhi adaa itni kaatilaana hai... Medhavi 18.10.15

waqt

Waffa ka yakeen thha, Waqt woh kitna haseen thha, Un aankhon mein sirf mera suroor thha, Tumko paa kar har zarra maghroor thha, Na jaane woh hawa ka jhonkaa kab aaya, Kahin kho gaya woh zariya ibaadat ka, Benaam ho gayi saari kasmein, Beghar ho gaye saikaron lamhe, Shamaa jalti rahi, waqt pighalta raha, Ummeedon ka daayara, ghat-ta gaya,  Ab bas kuch aadhi adhuri beeti baatein hain, Jo rooh ke darmiyaan kahin mehfooz hain, Aur aaj bhi har sheh par tera shukriya karne, Aur mohabbat tujhse karne mein, har zarra masroof hai... Medhavi 18.10.15

wo raatđŸŒ¸

Woh raat... Aaj na jaane kyun phir teri yaad aa gayi, be-waqt, bin-baat ke, bas yun hi. Kamre ki dhundhli roshni mein, bistar par lete huye, kuch bhooli huyi raatein yaad aa gayi.  Kuch soch kar hassee aa gayi.. kuch soch kar rona aa gaya.. Yaad aayi woh raat jab phone par pehli baar ikraar hua tha.. woh raat jab main khushi se pehli baar royi thhi aur nam aankhon sang so gayi thhi.. woh raat jab hamari pehli ladaayi huyi thhi aur raat tumhe manaane mein guzar gayi thhi..  Woh raat jab hum kisi baat par itna hasse thhe ki ro padde thhe.. woh raat jab tumne pehli baar apni tasveer mujhe bheji thhi.. woh raat jab tumne kaha thha ki mere bina tum kuch bhi nahin aur maine saath nibhaane ka vaada kiya tha..  Phir woh raat yaad aayi jab yun hi phone par tumne bina kuch samjhaaye mujhe chorr diya thha.. woh raat jab sawaalon ki goonj mujhe paagal kar deti thhi.. woh raat jab khud ko shaant karne ke liye khud ko sazaa dene ki aadat lag gayi thhi.. woh raat jab phir nam aankhon sa...

đŸ‘¤saaye

काले  साये  ख्यालों  के  अक्सर  ढूंढ  लाते  हैं  सौ  बहाने  टूट  जाने  के , फिर  तुम  मुस्कुरा  देते  हो  और  मैं  हार  जाती  हूँ .. . . - मेधावी

đŸ‘¤poetry

Na jaane kitni daffa Ek hi khwaab humne dekha hai Phir ajnabee ho kar Tumse milenge toh kya hoga Medhavi 12.10.18đŸ‘¤ Her footwear were outside his room, She saw it and something broke inside, It wasn't her heart, it was a mirage, Filled with fake moments,  some kind of collage... She smiled and laughed at herself again, But that couldn't mattify her deep pain, The eyes screamed, the hands shivered, The dreams shattered, the lips got dried, There were no tears, there was no anger, But disappointment and more disappointment... MedhaviđŸ‘¤ Zindagi ke jis daur mein Tum humko peeche chorr gaye Uss modd par aaj bhi Beete kisson ki goonj baaki hai... Medhavi 12.10.15đŸ‘¤ Ek adhoori mulaaaqaat thhi,  Woh ek lambi si raat thhi, Shama pighal rahi thhi, Lamhon ki umra ghat rahi thhi... Kuch faasla aur thodi nazdeeki thhi, Saanson ki guftagu, thamaa hua waqt, Ankhahee si aarzoo, khwaahishein behadh... Yun hi aankhon aankhon mein, Seher zameen par utar gayi, Dabi dabi si aahatein, Lamhon par da...

abhiđŸŒ¸

Woh dekhti hi nahin aayeene ko gaur se aajkal, Main chhup chhup kar usko dekha karta hun, Meri nazar parchaayi si uske saath saath chalti hai, Uske kadmon ke saath meri raah nikalti hai... Uski khushbu uss se pehle mere zehen mein bhar jaati hai, Uski aawaaz uss ke dil se pehle mujh tak pahunch jaati hai... Itni nazdeeki toh Na thhi kabhi jab tere saath thha, Thode faasle thhe thodi doori ka ehsaas thha, Ab Na dekh Sakti hai tu mujhe,  Na mehsoos main hota hun, Par tere saath uthta baithta aur sota hun, Kehte hain log ki main iss duniya mein nahin raha ab, Unko kya khabar ki ab bhi main tujhmein jeeta hun... I miss you Abhi Medhavi

new victim đŸŒ¸

New victim. Same plan. New face. Same story. New conversations. Same charm. New name. Same commands. New voice. Same sound.  New love. And it all comes around.  I want to save her but would she believe ?  That he's not in love and she's just a need. New questions. Same answers.  New season. Same place.  New lies. Same abandonment.  New reason. Same betrayal. New smile. And there will soon be just tears. I want to tell her what I went through but would she even listen ?  That she will be the third victim and it will be a mistake that she will repent.  Or should I let it go?  Her life. His life.  Her decision. His choice. Her lips. His voice.  And Her destiny. His karma.  - Medhavi