Posts

waqt🌸

✨ Kisi jagah ki nahin, kayi baar logon ko kisi waqt mein lautne ki chaah hoti hai. Woh waqt jab hum mein bharosa karne ki, dosti nibhaane ki, mohabbat karne ki himmat hoti thi.  . . Dil toot jaane ka darr nahin hota tha. Shaayad apne teenage years mein hum sabse paak hote hain, hum mein mohabbat karne ki koi kala nahin hoti, bharosa tootne ka darr nahin hota.  . . Himmat hoti hai aazaadi se cheezon ko mehsoos karne ki aur kayi baar khul ke bol dene ki. Us waqt shohrat, daulat, kaam, samaaj, kisi cheez ka hosh nahin hota. Bas bahut hi khoobsoorati se hum har rishta banaate hain aur nibhaate hain. Phir duniyaadaari ki samajh dheere dheere hoti hai.  . . Jab koi dost daga deta hai, tab pehli baar dil toot-ta hai, jab apni zindagi mein wo nahin kar paate jiski chaah thi, tab phir toot-ta hai. Phir pehla pyaar hota hai, jismein aadhe se Zyaada baari dil toot-ta hi hai. Pehli baar har baar jaisa lagta hai. Mohabbat karne ki, bharosa karne ki, himmat toot-ti hai par khud par bha...

sach🌸

Tum Sach thhe ya jhooth thhe, Yeh aksar khud se poochti hun main, Tasveerein haath mein hoti Hain lekin,  Phir bhi Shaq sa karti hun main, Jo itna gehra tha kabhi,  Itna khokhla kab ho gaya, Jo itna apna tha kabhi, Iss kadar ajnabee kab ho gaya... Yeh sawaal be-jawaab hain, Aur uljhanein ab bhi be-hisaab hain, Koi dil toddne ko dil lagaata kyun hai, Koi dur jaane ko paas aata kyun hai, Koi sehra mein barsaat sa hai kyun, Is toote rishte mein yeh gaanth hai kyun, Kyun khwaabon mein tum aate ho ab bhi, Sab chhal tha, phir kyun rulaate ho ab bhi... Tumhe lautna nahin yeh jaanti hun main, Phir kyun bahaane bana tumhare peeche bhaagti hun main, Aur har raat yahi sochti hun main,  Tum Sach thhe ya jhooth thhe,  Tasveerein haath mein hoti Hain, Phir bhi Shaq sa karti hun main... Medhavi 05.04.17

🫧sagar

Ek sagar piroya tha khwaabon ko samet ke,  Bikhre thhe jo lafzon ke libaas mein tumhari us laal diary mein,  Yaad hai tum usmein aksar apne dil ki khaas baatein likha karte thhe ?  Ek waqt tha ki har panne par naam tha mera,  Aur kabhi kabhi mujhe yaad kar tumhari aankhon ki nami se kuch lafz bhi dhundhla jaate thhe.  Mulaaqaaton ka waqt seemit hota tha,  Aur sagar mein moti se tumhare ehsaas ghulte rehte thhe,  Kabhi socha nahin tha,  Ki wo khwaab khud hi todne padenge, tumhara Mudd ke na dekhna kabhi khwaab ke khwaab mein bhi na tha, par tumhara jaana, shaayad maaloom tha, Tabhi aaj tak tumhari wo baatein, kuch cheezein ab tak hain paas mere, jinse waqt ko kaid sa kar rakha hai maine bhi, tumhe nahin aana, ab tumhara intezaar bhi nahin, par wo sagar ab bhi apni maujon mein tumhara naam dohraata hai... - Medhavi

👤empty

He left me so empty,  That no love could fill my heart,  No soul could hold my being,  And life could never be the same. 

aaj unhe phir saath dekha🌸

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama na...

👤gulaab

Sookhe gulaabon ko kitaabon ke beech bikharte huye dekha hai, Humne mohabbat ko shabdon ki sangati mein dum todte huye dekha hai Rang udd jaate Hain,  Wajood mitti ho jaata hai,  Panno ke akshar bhi dhundhla jaate Hain Khushbuein Hawa ho jaati Hain Ehsaas ghul jaate Hain  Kitaabon mein aksar waqt ke saath do log juda ho jaate hain

diwali🌸

[10/27, 2:35 AM] Medhavi: Sochti hun is Diwali par Kya maangun,  Kuch maangna banta bhi hai Kya?  Log to maangte Hain ki bas unke Ghar Lakshmi ji aayein,  Par main jaanti hun ki har guzarne wale saal mein,  Meri maa apne Ghar ki Lakshmi kisi aur ke Ghar bhejna chahti Hain,  Chahti Hain ki mujhe koi aisa Miley,  Jiske saath Zindagi katte nahin, guzar jaaye,  Phir sochti hun ki mujhe Kya maangna hai,  To bahut se khayaal aate Hain,  Shaayad yeh ki kaash agli Diwali ka pehla Diya main Akele na jalaaun,  Rangoli banaate waqt mere gaalon par girti lattein koi mere kaan ke peeche Kar de,  Kamra sirf Mera na ho Kar hamara ho,  Phoolon ki khushboo bas ek din nahin, hafte bhar se ho aur hafte bhar rahe,  Tasveerein bas Instagram ke liye na ho Kar lamhon ko kaid Karne ke liye hon,  Tohfe bas Diwali Milne ke liye na main Akele khareedun,  Koi mujhe bhi Diwali par kahe ki Mujhse uski zindagi mein Roshni hai, Diwali ho ya na ...