Posts

Showing posts from September, 2025

for Abhi

Woh dekhti hi nahin aayeene ko gaur se aajkal, Main chhup chhup kar usko dekha karta hun, Meri nazar parchaayi si uske saath saath chalti hai, Uske kadmon ke saath meri raah nikalti hai... Uski khushbu uss se pehle mere zehen mein bhar jaati hai, Uski aawaaz uss ke dil se pehle mujh tak pahunch jaati hai... Itni nazdeeki toh Na thhi kabhi jab tere saath thha, Thode faasle thhe thodi doori ka ehsaas thha, Ab Na dekh Sakti hai tu mujhe,  Na mehsoos main hota hun, Par tere saath uthta baithta aur sota hun, Kehte hain log ki main iss duniya mein nahin raha ab, Unko kya khabar ki ab bhi main tujhmein jeeta hun... I miss you Abhi Medhavi

Kaash

Kaash main tmhari zarurat nahi Hasrat hoti Tmhari aadat nahi Mohabbat hoti Toh hamari kahani mein rang ghulte Aur sunehra zindagi ka aangan hota Khwab sare hamare sach hote Aur sirf khushi ka hi mausam hota Par main sirf ek thi Tmhare saikaron vikalpon me Ek parchaayi thi Tmhare dil ke anginat aayino me Meri haisiyat sirf waqt ki mohtaj thi Meri keemat sirf ye thi ki main tmhara aaj thi Kaash tmne mujhe chuna hota Ab yeh bhi nahi sochti main Mujhe kho diya tmne Aur yeh tmhari sabse badi haar thi

mausam

Hum phir na milein agar, Toh yeh baatein yaad rakhna, Sardiyon mein haath pakad kar, Humne bahut raaste tayy kiye thhe, Basant ritu ki thandi hawa mein, Nadi kinaare hum tum chai piye thhe, Garmiyon ki shaamon mein, Hum lambi drives pe gaye thhe, Barsaat mein ek hi rickshe par, Hum dono aadhe-aadhe bheege thhe, Patjhad na dekh paaye hum tum,  Par har mausam saath dekhe humne, Aur patjhad theher sa gaya kuch yun, Ki alag ho gaye raaste aur hum tum, Yaad rakhna ki har mausam mein, Main tumko yaad aaungi kuch yun, Ki sardiyon ki hawayein kuch aur chubhengi, Basant ke phoolon se khushbu gum rahegi, Garmiyon ki dhoop mein parchaayi akeli lagegi, Barsaaton mein mann ki zameen na bheegegi, Main yaad aaungi tumhe waqt bewaqt yeh yaad rakhna, Hum saath rahein na rahein, tum humein yaad rakhna.  Medhavi