Posts

Showing posts from October, 2024

aetbaar

Yeh tasveer main badalti nahin,  Kyunki ismein us waqt ki muskurahat hai, Jab mujhe tujhe paane ka aetbaar ho gaya tha.  Medhavi 14/10/24

jhootha

Tujhe dekhti hun aksar main, Zindagi ko khule dil se jeete huye,  Aur ek hum hain jisse ab, Jhootha muskuraaya bhi nahin jaata... Medhavi 14/10/24

shaqs

Mujhe aksar tum mein base huye us shaqs ki yaad aati hai,  Jiske liye mujh par hi duniya shuru aur khatam hoti thi,  Ya shayad tum woh shaqs kabhi thhe hi nahin, yeh baat bhi ab kuch kuch samajh aati hai,  Warna aise hi thodi na hamari kahaani khatam hoti.

chitka

Aaj phir mera toota hua dil kuch chitka,  Jab kisi ne kaha ki, Tumhe main yaad bhi nahin,  Saansein bhaari ho gayin, Haath kaanpne lage,  Yeh soch kar hi bas,  Ki kahin yeh baat sach toh nahin.  Medhavi 14/10/24

aabaad

Agar meri barbaadi se tu aabaad hua,  Toh khushi hai mujhe ki kuch toh tera mere saath hua.

amaanush

Ek gaana suna tha bachpan mein,  Aaj kuch kuch samajh mein aata hai,  Jab khud ko samajh nahin paati hun,  Woh gaana khud ko dohraata hai,  'Dil aisa kisi ne mera toda,  Amaanush bana ke chodda' . Kabhi kabhi yeh bhi sochti hun,  Ki aage badh thaam lun haath kisi ka, Phir issi gaane ka antra sunti hun,  'Saagar Kitna Mere Paas Hai Mere Jeevan Mein Phir Bhi Pyaas Hai'.  Koi kyun kisi ko is kadar adhoora chodd jaata hai,  Tukde karte huye dil ke, usko ek bhi na chubhta hai,  Insaan ko ek umar lag jaati hai sanjone mein,  Khud ke tukde, khud ke sapne. Ummeed dete hain log aksar,  Ki waqt marham hai,  Har zakhm bhar jaayega,  Phir is gaane ka ant sunti hun,  'Dooba Sooraj Phir Se Nikle,  Rehta Nahin Hai Andhera, Mera Suraj Aisa Rootha, Dekha Na Maine Savera' Aur ummeed phir hans paddti hai mere dar par aane se pehle,  Zindagi toh guzar jaayegi,  Par ab na mehsus humein kuch hoga,  Bahut si raatein dhalengi, subha aayengi,  Par ab shayad ujaala kabhi na hoga... Medha