Posts

Showing posts from 2021

poetry - 2 liners🤞

Agar mohabbat kavita hai,  Toh tum meri pasandeeda pankti ho🤞 Mere dil ke ek kone mein do shikve thhe,  Tumne unko bhi dua bana diya,  Andheron se bhare kamre ko yun hi,  Tumne apne Ishq se jagmaga diya. 🤞 ✅Meri har kavita us din poori ho gayi,  Jis din tumhare haathon ne mere haathon ko thaam liya. 🤞  Ek zindagi lag gayi tumko dhundhte huye,  Ab Miley ho, to kuch yaadein de kar jaana Kuch saath nibha kar jaana,  Kuch baatein kar ke jaana,  Aur agar ho sake,  To kabhi mat jaana. 🫶  I'd never say that nobody would ever love you more than me,  Oh babe, you deserve the world !  But I'm sure of one thing,  Nobody would ever touch your soul the way I do.  ✅तुम्हारी नज़दीकी को सांसों में कुछ ऐसे बसाया है,  कि खुद से मुझे तुम्हारी खुशबू हर वक़्त आती है.  - मेधावी 🤞  Tumhara haath thaam kar,  Main har Darr riha kar deti hun,  Tum sirf meri ummeed nahin,  Tum meri himmat ho. Tumhari naamaujoodgi, Meri nazar ko kuch is tarah dhundhla deti hai,  Ki mujhe kuch bhi khoobsurat nahin lagta

Poetry - 🌸

Mujhe lagta hai saath kuch jaldi chhoot gaya,  Par ehsaas ab tak chootta nahin,  Subha ka pehla khayaal,  Raaton ka aakhiri Sawaal,  Har mausam ki khushboo,  Aur mohabbat ke maayeene,  Sab tab bhi tum se thhe,  Ab bhi tum se kaayam Hain. Jis mod par tumne manzil Badal di thi,  Us chauraahe par ab bhi khadde bhi hum *Hain* ,  Ek sagar piroya tha khwaabon ko samet ke,  Bikhre thhe jo lafzon ke libaas mein, tumhari us laal diary mein,  Yaad hai tum usmein aksar apne dil ki khaas baatein likha karte thhe ?  Ek waqt tha jab har panne par naam tha mera,  Aur kabhi kabhi mujhe yaad kar tumhari aankhon ki nami se kuch lafz bhi dhundhla jaate thhe.  Mulaaqaaton ka waqt seemit hota tha,  Aur sagar mein moti se tumhare ehsaas ghulte rehte thhe,  Kabhi socha nahin tha,  Ki wo khwaab khud hi todne padenge, tumhara Mudd ke na dekhna kabhi khwaab ke khwaab mein bhi na tha, par tumhara jaana, shaayad maaloom tha, Tabhi aaj tak tumhari wo baatein, kuch cheezein ab tak hain paas mere, jinse waqt ko ka

Dim lit room🌸

A dim lit room  And projector screen  Songs of the 80s  And a glass of rum and coke  Distance created on purpose  Sparks flying on each accidental touch  A simple conversation  Silences and pauses  Words intermingled  And stolen glances  A touch on the lips  A stroke in the hair  A slight grip on the waist And a mild push away A reluctant kiss  Yet longing too  A look in the eye  And wanting it too  Hesitation and breakable rules  Soft caresses on the skin  Smiling in between  Wondering what we are up to A decision to push away  A longing to stay close too  A little heart saying no to it  And a little saying yes too  No idea about the time  If it's night or day  Just a dim lit room  And projector screen  Two lost souls  Listening to the 80s  With a glass of rum and coke 

sukoon🌸

Sukoon ho tum,  Mera ghar ho tum,  Tumhe dekh kar bas yun hi,  Aankhein nam ho jaati hain,  Ab bhi tasveerein dekh kar tumhari,  Meri aankhein muskuraati hain... Meri subha, meri shaamein,  Mere din, meri raatein,  Mere khwaab, meri neendein,  Mere kamre ki choti choti cheezein,  Sab tumhare khayaalon ko dohraati hain,  Tumse bematlab bewajah har din thodi aur mohabbat ho jaati hai... Tum dur ho kar itne,  Kaise mere dil ko chu jaate ho,  Kaise mujh mein doob kar,  Mujhe har din apna deewana banaate ho,  Tumhe paane ka hausala har din badhta jaata hai,  Ek hi khwaab kayi baar mera zehen mujhko dikhaata hai... Tum mujh mein kuch is tarah ho,  Ki main khud ki talaash mein hun aajkal,  Jo dekhti thi, padhti thi,  Kuch waise ishq mein main hun aajkal... Tumhara mausam meri saanson mein utarta hai aadat ki tarah,  Aur tumhara wajood mere naam se judta hai ibaadat ki tarah... Har din tumse puchte nahin thakti, ki mujhe chorr to nahin doge,  Par tumhara Siva ab to khud par bhi nazar nahin tik

khaali

Ek tasveer nigaahon mein utaarte utaarte,  Ek jhoothi zindagi guzaarte guzaarte,  Aaj thak gaye hausale, sehem gayi ummeedein,  Aur tham gaya aakhiri ashq bhi palkon par,  Ki ab zindagi mein zindagi nahin rahi,  Chhan ke muskuraahatein bhi gir gayin,  Khud ka bhi ab sahaara na Raha, K Kuch iss kadar mohabbat Zindagi ko khaali Kar gayi.... -Medhavi

ek lamba intezaar 🌸

Intezaar, ek lamba intezaar,  Us ek lamhe ka,  Jo khaalipan bhar jaayega,  Aur yeh banjaara dil,  Phir apna ghar paayega... Intezaar, ek lamba intezaar,  Phir tumhe baahon mein bharne ka,  Mohabbat mein hadh se guzarne ka,  Un aankhon mein phir doobne ka,  Tumhe manaate manaate phir roothne ka... Intezaar, ek lamba intezaar,  Us subha ka jo tumko dekh shuru ho, Aur us raat ka jo tum mein kho kar ho bojhal,  Tumhari jalti bujhti un khoobsurat aankhon se baatein karne ka, Aur tumhari garm saanson ko phir apni panaah dene ka... Yeh intezaar sirf mera nahin,  Kuch tumhara bhi hai,  Yeh safar ek manzil ki oar,  Kuch hamara bhi hai,  To chalo tayy karte hain,  Is lambe intezaar ka waqt,  Kuch tum guzaar lena,  Kuch main guzaar lungi,  Aur jab hum milenge,  Toh taqdeer se hisaab lenge,  Apne intezaar ka ek ek pal,  Hum saath reh kar mukammal karenge... - Medhavi 

little Things 🌸

Life is all about the way we look at things, it's all about our perceptions that eventually decide how our view is going to be. It can be as grand as the ocean or as tiny as a sprinkle of sugar.  It's all about how we choose to look at things and what role we decide for ourselves. The role that interplays along with our different moods and phases, good and bad days, hard and fun times; we may never realize but we often role play with ourselves.  We wear masks of a smiling face and lie incessantly about being alright. But at the end of the day, it's all about how well we played our role and who caught our real self, yes that's the person you gotta keep close ! But don't forget to keep looking at and towards the brighter side, and new reasons to smile, because in the end, it's all about the little things.

kaagaz

Likhne ki tujhe ki koshishein hazaaron,  Par khud se badhkar tujhe mehsoos karne ke ehsaas ko,  Kaagaz par utaarne ke liye lafz kam padd gaye...

lafz

Likhne ki tujhe ki koshishein hazaaron,  Par khud se badhkar tujhe mehsoos karne ke ehsaas ko,  Kaagaz par utaarne ke liye lafz kam padd gaye...

tayy✌️

Tumhe aana bhi tha, aur jaana bhi tha, yeh pehle se tayy tha,  Bas sab de kar jaaoge, par khaali humko kar jaaoge,  Yeh socha nahin tha...

Haqeeqat✌️

Ek lamhe mein simte huyi,  Sadiyon ka khwaab ho, Anginat sawaalon mein uljhi,  Kya tum duaaon ka jawaab ho,  De kar jaa rahe ho woh pal,  Jo na bharega, na khaali reh sakega,  Guzrega waqt, aayenge kal,  Par woh pal nigaahon mein thamaa rahega,  Ummeed rakhne ki taqdeer ki haiseeyat nahin hai,  Ishq ke parindon ki aasmaanon mein keemat nahin hai,  Phir milenge shaayad hum bhi,  Sahi aur galat ke pare,  Is zindagi ki maaya mein sab sahi hai, bas hum Haqeeqat nahin hain...