Posts

Showing posts from April, 2020

kaafila✌️

Ek safar kaayam karna tha, Manzil ka kaafila ban gaya,  Mulaaqaat ek karni thi, Mohabbat ka silsila ban gaya... Ab choot-te nahin tum,  Aadat si ban gaye ho,  Dil se nikalte nahin tum,  Chahat meri ban gaye ho... Kitaabi baaton ko kuch kuch, Sach karne lagi hai yeh daastaan hamari,  Shayari likhte thhe pehle,  Ab bas likhte hain sirf kisse hamare

🫧bhram

Aadhi zindagi,  Hazaaron filmein,  Aur laakhon dard lag gaye,  Yeh ek baat samajhne mein,  Ki yeh ishq mohabbat,  Sirf kitaabi baatein hoti hain.  Logon se hamesha se sunti thi, hansti thi un par,  Kyunki sochti thi,  Ki kitni kharaab taqdeer hai inki, ki inko ishq se inkaar hai, bataao in baaton ko kitaabi kehte hain, jin par likhi gayi hain anginat kahaaniyaan. Jab toot-ti hai himmat, Aur dil mehsoos karna chorr deta hai, tab kuch yakeen sa hota hai, ki yeh sab bas ek bhram, ek samjhauta hai. Jise log karte hain, apne apne waqt pe, apne apne matlab se, aur phir sab raaton raat badal jaata hai.  Medhavi

shayad🌸

Phir se khud se yeh ikraar karna, ki is baar bhi mohabbat mein tumhari haar huyi, shaayad main karne se darti hun... Shayad main darti hun yeh maanne se, ki tum bhi chale gaye, ya shaayad maine jaane diya...  Shayad main darti hun, har roz subha uth kar khud ko dekhne se, kyunki har din ek hi khwaab toot-te huye baar baar dekhti hun,  Tumhe mujhko bhulaate huye, har roz dekhti hun... Shayad main darti hun, phir se nakaam hone se, phir tanha hone se, phir akele Rone se,  Phir toot ke bikharne se, aur phir se mohabbat karne se... Medhavi

👤 hausla

Mujhe har din aisa lagta hai,  Jaise maano main tumhara peecha kar rahi hun,  Kabhi messages pe,  To kabhi call kar ke,  Kabhi posts pe tag kar ke,  To kabhi apni pics bhej ke,  Jaise main tumhara apni zindagi mein ab tak hone ka yakeen khud ko har din dilwaana chahti hun,  Jabki sach to yeh hai,  Ki tum mujhe chorr bahut pehle aage badh chuke,  Aur main wahin hun,  Jahan se waapas lautne ka koi raasta nahin,  Aur aage badhne ka mujhmein hausla nahin... 

waqt🌸

✨ Kisi jagah ki nahin, kayi baar logon ko kisi waqt mein lautne ki chaah hoti hai. Woh waqt jab hum mein bharosa karne ki, dosti nibhaane ki, mohabbat karne ki himmat hoti thi.  . . Dil toot jaane ka darr nahin hota tha. Shaayad apne teenage years mein hum sabse paak hote hain, hum mein mohabbat karne ki koi kala nahin hoti, bharosa tootne ka darr nahin hota.  . . Himmat hoti hai aazaadi se cheezon ko mehsoos karne ki aur kayi baar khul ke bol dene ki. Us waqt shohrat, daulat, kaam, samaaj, kisi cheez ka hosh nahin hota. Bas bahut hi khoobsoorati se hum har rishta banaate hain aur nibhaate hain. Phir duniyaadaari ki samajh dheere dheere hoti hai.  . . Jab koi dost daga deta hai, tab pehli baar dil toot-ta hai, jab apni zindagi mein wo nahin kar paate jiski chaah thi, tab phir toot-ta hai. Phir pehla pyaar hota hai, jismein aadhe se Zyaada baari dil toot-ta hi hai. Pehli baar har baar jaisa lagta hai. Mohabbat karne ki, bharosa karne ki, himmat toot-ti hai par khud par bha...

sach🌸

Tum Sach thhe ya jhooth thhe, Yeh aksar khud se poochti hun main, Tasveerein haath mein hoti Hain lekin,  Phir bhi Shaq sa karti hun main, Jo itna gehra tha kabhi,  Itna khokhla kab ho gaya, Jo itna apna tha kabhi, Iss kadar ajnabee kab ho gaya... Yeh sawaal be-jawaab hain, Aur uljhanein ab bhi be-hisaab hain, Koi dil toddne ko dil lagaata kyun hai, Koi dur jaane ko paas aata kyun hai, Koi sehra mein barsaat sa hai kyun, Is toote rishte mein yeh gaanth hai kyun, Kyun khwaabon mein tum aate ho ab bhi, Sab chhal tha, phir kyun rulaate ho ab bhi... Tumhe lautna nahin yeh jaanti hun main, Phir kyun bahaane bana tumhare peeche bhaagti hun main, Aur har raat yahi sochti hun main,  Tum Sach thhe ya jhooth thhe,  Tasveerein haath mein hoti Hain, Phir bhi Shaq sa karti hun main... Medhavi 05.04.17