Posts

Showing posts from July, 2019

Libaas

Wrote fo saumyaa Yeh libaas saadgi ka Ya hai mausam dilkashi ka Yeh latt zaraa uljhi si Aur adaa zara sulgi si Yeh ungliyaan tumhari Hain bani kalaakaari se Roshan ghar yeh karengi Sau andheron se ladd ke Itne haseen tumhare kadam hain Zameen se aasmaan ka sangam hain Halki tabassum tumhari Jaise goonji koi kilkaari Badde bhole hain yeh do naina Jinmein ojhal si hoti udaasi Utarti huyi zara nami si Phir bhi hain kitni pyaasi Yeh baaliyaan tumhari Ghunghroo si aawaaz wali Choomti huyi tumhare kaanon ko Phir ek sargam si chaayi Baddi fursat se banaaya Khuda ne tumko kisson mein Bhar di usne adaayein saari Tumhare har zarre k hisson mein Ghar se jab nikalnaa Aayeena phir dekh lena Kahin khuda hi na rooth jaaye Khudaa ka shukriya kar denaa..

🫧Para - aazaad🌸

Kuch yaadon se aazaad hona badda mushkil hota Hai. Cheezon mein, raaston mein, khushbuon mein, mausamon mein, kahin mehfooz Inka wajood, aage badhne se rokta Hai. Kuch mita sakte Hain, aur kuch Hain Jo kabhi khatm hote nahin, Zindagi ke kuch kisson ko khud ko dohraane ki aadat si hoti Hai. Baarish hamesha si Hain, phir bhi bheeni khushbu kisi guzre pal ki hoti Hai; sardi utni hi paddti Hai, phir bhi kohre mein kisi ek chehre ki parchaayi hoti Hai; garmiyon ki shaamein utni hi lambi hoti Hain, phir bhi haathon mein un haathon ki nami dafn rehti Hai; patjhad ki hawaayein utni hi tez hoti Hain, phir bhi unke udte tukdon ki manzilein guzre waqt ki hoti Hain. Khidki se guzarte mausamon ko dekhte Hain Magar, waqt ki sooyi ek arse se wahin atki rehti Hai. Bheed se guzarte waqt jab koi jaana pehchaana sa itr choo jaata Hai, toh ek pal ko Mudd ke dekhne ki hasrat kabhi khatm nahin hoti. Kuch apni pasand ke khaane se alag jab kisine kuch khilaaya tha, kyun har daffa ab bhi pehle nivaale par us...