Posts

kasturi

Woh raat yaad hai tumhe,  Jab hamare bistar upar neeche thhe,  Kamre mein karne ko andhera,  Tumne khidki se parde kheenche thhe,  Sannaatta tha kuch aur phir bhi sadkon ka shor tha,  Ghulti ishq ki khushbu-on ka kaarwaan har oar tha,  Tumhara ek haath mere sirhaane tha,  Jise pakad ke main chain se soyi thi,  Karwatein badalte rahe raat bhar hum,  Par haathon ki chu-an chand ki chakori thi,  Hum dooor thhe kuch par dooori nahin thi,  Aisi humse bandhi jaise ek dori thi,  Aur neend mein bhi mere chehre ne,  Raat bhar muskurahat kahan hi choddi thi. 

dard ki siyaahi

Maine dard ki siyaahi  Aaj ashqon se udhaar maangi  Likha sirf tera naam  Aur ek ghazal aisi likh daali Jiske mukhde mein hamari  Pehli mulaaqaat ka mausam tha Aur antre mein hamari  Faasalon ki dastak ka aaghaaz tha Siyaahi khatam na ho saki  Aur Raat yun hi guzar gayi  Tere saath na hone ka ghum  Bujhti sarhadon ko aag deta raha.  - Medhavi  27/01/25 

sher

Tujhe bhoolna itna mushkil kyun hai ?  Is qaid mein ab bhi yeh dil kyun hai ?  Subha shaam mein tera hi zikr kyun hai ? Har zakhm ka marham tera khwaab hi kyun hai ?  Medhavi  18/01/25 Tu mujhe kadwa kar gaya apne meethe dhoke se,  Warna ek waqt tha jab log mujhe chaashni bolte thhe.  Medhavi  18/01/25 Aksar teri tasveeron mein  Teri aankhon ko dekhti hun main Karti hun koshishein ki dikh jaaye Woh dhokha jo us waqt dikha nahin  Medhavi  18/01/25 Teri soorat si lagti hain sab sooratein mujhe,  Teri talaash kabhi khatam hi nahin hoti,  Tu saamne padd gaya agar toh rasta badalna tayy hai lekin,  Phir bhi tujhe nazar bhar dekhne ki talab kam nahin hoti.  Medhavi  18/01/25

jhumke

Aaj tumhare diye huye jhumke daraaj mein miley,  Toh bas mann hua aur maine woh pehen liye,  Phir aayeene mein dekha khud ko toh na jaane kyun muskurahat aa gayi,  Aur dusre hi pal aankhein nam bhi ho gayin,  Kyunki un jhumkon ki khanak toh pehle si hi thi,  Par ab tasveer kheench ke bhejne ki ab shayad mujhe ijaazat nahin,  Ek waqt tha jab lagta tha ki main tumhari zindagi thi,  Aur dekho, ab tum meri hi zindagi mein nahin.  Medhavi  18/01/25

manpasand

Meri manpasand jaghon mein, Kyun uske khayaal aaj bhi rehte hain,  Meri manpasand sadkon par,  Kyun uske kadam mere saath aaj bhi chalte hain,  Meri manpasand chaai mein,  Main kyun aaj bhi cheeni uske hisaab se leti hun,  Meri manpasand bus ki seat, Main kyun aaj bhi uske liye khaali rakhti hun, Meri manpasand film dekhte huye, Kyun uska naam le kar main aaj bhi cheezein keh deti hun, Meri manpasand zindagi ko, Main uske jaane ke baad bhi kyun uske hi andaaz se jeeti hun ?  - Medhavi 18/01/25

🫧you just didn't love me enough

You just didn't love me enough  Seven years ago when we met,  I didn't know, neither you did,  That our paths will cross again,  And you will fall for someone like me... Someone as broken as I was then,  Tired of love, tired of being unloved.  And we met again when things were worse,  I had put my heart in jeopardy for someone else,  And was shattered but you still held me.  5 years of your patience,  5 years of your love,  But today I want to say that,  You didn't love me enough.  You said you find it hard to express,  And I waited for that one day when you would, You said you'd fight the world for me, And I waited for that one day when you would... You gave up too late,  Or you gave up too early,  I wasn't prepared,  We weren't done,  But between us there were always your demons, And you and your demons never believed in miracles.  Your practicality killed my dream - lit love,  Your pra...

🫧safed kurta

Aaj tumhe maine ek safed kurte mein dekha,  Tumhare bikhre baalon mein maine raat ke dhalte andheron ko dekha,  Us kurte mein maine anginat safed rangon ko dekha,  Thodi barf, thoda aasmaan,  Thodi cheeni, thoda namak dekha,  Ek gulaab, ek hans, Thodi barf, thoda doodh dekha,  Ek kaagaz, ek shankh dekha,  Ek jharnaa aur thoda dhuaan dekha,  Saare safed rang utar aaye meri nigaahon mein,  Jab aaj tumhe maine ek safed kurte mein dekha.  Safed kurta pehna karo,  Achcha lagta hai tum pe.  - Medhavi