Posts

zindagi

बेखौफ ज़िन्दगी  यूँ ही ना हुई ,  बहुत  से ऐसे  मनज़रो से सामना  हुआ,  जहां टूट कर मैं कितनी दफा चूर चूर हुई ... ज़माने ने डाली बेडियां  पैरों में मेरे,  हर बार उन्हे तोड़ मैं खुद ही आज़ाद हुई... लड़ के मगर फिर मैं किसी गलत के लिए,  ना जाने कितनी दफा खुद ही बर्बाद हुई... साथ देने का वादा किया ना जाने कितनो ने,  हाथ पकड़ के छोड़ने की फित्रत समझा भी गए ,  समझा ना सकी खुद को, कैसे समझाती मैं सबको ,  कि किसिकी बातों में मैं यूँ  ही आ भी गयी... साथ था ना कोई  और जब मुड के देखा ,  मैं ही गलत थी, और ऐसे ही मशहूर हुई,  सब भूल गए सारी अच्छी  बातों को,  ना जाने कितनी दफा मैं टूट कर चूर चूर हुई... मोहब्बत भी सुनी और दोस्ती भी सुनी,  मैने अपनी दुनिया कितने धागों से पिरोई ,  टूटे उस माँझ की पतंग से ख्वाब जैसे,  इन राहों में मैं तनहा कितनी बार हुई,  सबको बनाया अपना, पर मैं किसी की ना हुई... ली दुष्मनी गैरों से अपनो की आन की खातिर,  और खुद का तामाशा बनते  कई बार देखा,  बुरे  वक़्त म...

Humne bahut intezaar kiya🌸

Humne bahut intezaar kiya,  Tumhare saath reh kar, tumhare saath ka,  Tum jo na keh sake, us har ek baat ka... Lafzon se pare, tumhare pyaar ki hadh ka, Jo tum likh na sake, us har ek khat ka... Tumhare khaas logon mein, apni ginti ka, Tumhe apni zindagi mein shaamil karne ki vinti ka... Tumhari us ek nazar ka,  jisse tum gairon ko dekhte ho, Tumhari zindagi mein us jagah ka,  jispe tum gairon ko rakhte ho... Tumhare haathon ki lakeeron ki garmi ka, Tumhari saanson mein ghulti apni narmi ka... Par tum na aaye,  Humne bahut intezaar kiya, Shayad itna hi tha taqdeer mein, Toh humne bas, bahut intezaar kiya. - Medhavi Oct 8' 2022

duvidha🌸

Tum woh khwaab ho,  Jisse main khuli aankhon se dekhti bhi hun,  Aur har din toot-te huye mehsoos bhi karti hun... Tum woh ummeed ho,  Jisse main khud se nazar bacha kar rakhti hun, Niraash ho kar bhi, phir se dil mein bharti hun... Tum meri woh pasand ho, Jisse har dusre din main khud se sawaal karti hun,  Kabhi hans ke toh kabhi ro kar khud ko behaal karti hun... Tum woh Humsafar ho, Jo der saver saath yun hi chodd deta hai,  Phir laut kar zindagi ki raah modd deta hai... Takleef hogi, yeh pakka hai,  Dil tootega, jazbaat bikhrenge,  Yeh bhi pata hai, par,  Tum woh duvidha ho,  Jismein rehna mujhe achcha nahin lagta, Par jisse pyaar karne se mera dil nahin thakta...

sadak 🌸

Jali huyi maachis ki teeli ki tarah,  He threw me off in a bin from his life, Raaton raat jazbaat badal gaye,  Felt like my world was a room with no light,  Rone ka koi faayada na tha,  Because I realized it's not worth it after a while, Par dil bhara tha shikwon se, toh, I wept until my heart lost his sight... Kehte hain be-asar ho jaata hai dard,  After you cry out not just pain but love,  Jab dil toot-ta hai toh ashq khaali ho jaate hain, And then nothing ever hurts you enough... Usne mera dil nahin mujhe todd diya,  He broke my spirit and I only felt empty inside, Kuch mehsoos nahin hua jab usne chodd diya,  Because I lived with this fear at the cost of losing my mind,  Haan, pyaar tha, ab bas afsos hai mujhko,  I regret belittling myself and begging for love,   Kisiko samjhaana pade toh kya faayada,  That respect is beyond addressing me well,  Izzat dena, basic hai, kisiko sunna, basic hai,  Kisiki baat poor...

waqt✌️

Kaash yeh waqt kuch aur der tham jaata,  Aur un aankhon mein hum kuch aur der doob paate... Kuch aur der unke haath mere haathon mein hote,  Chaahe milne ke saare bahaane khatam ho jaate... Par is din ko dhalna hi tha,  Mulaaqaat ko tootna hi tha,  Par achcha hai waqt guzar gaya,  Warna hum phir kal Milne ka vaada kaise karte...

khat 🤞

Woh khat jo tumne kabhi likha nahin,  Uska intezaar mera raha,  Woh manzil kabhi humko mil na saki,  Uska khwaab tumhara raha,  Woh waqt jo hamari kismat mein tha nahin,  Uski shikaayat taqdeer se rahi,  Aur woh mulaaqaat jo adhoori reh gayi,  Uska anjaam bhi adhoora raha.  - Medhavi🫶 Wrote after a long time. Some relationships are so beautiful that they end up draining out your emotions. Yes, that happens too. That's why they say that some imperfections are needed as flaws make things more beautiful. It's alright to walk away from something that is robbing off your mental peace. A good relationship is effortless, and if your relationship is taking a toll on your mental health, don't think twice before walking away. You deserve love that gives you peace, not anxiety.

For Su🌸

Kayi baar khoobsurati is cheez mein hoti hai, ki kuch log milte hi shakkar ki tarah zindagi mein ghul jaate hain. Na koi khaamoshi rehti hai, na kuch atpata lagta hai, Kuch logon se pehli baar milte hi puraana rishta lagta hai.  Aur shayad isiliye kehte hain ki mann ke darwaaze kabhi bandh nahin karne chahiye,  Kyunki kya pata kab koi ajnabee yun hi dil ke zariye hamara dost ban jaaye.  Mera dost banne ke liye, zara paagalpan laazmi hai, Kyunki zindagi mein khush rehna sabse zaada zaruri hai,  Aaj ka din itna achcha isiliye gaya kyunki kuch dost kayi saal baad miley, aur ajnabiyat se miley do log aaj dost ban gaye.  @theshayarsvanity - you're a sweetheart.  @hues.of.a.muse - I love you !  Aapka Aaj ka din kaisa tha ?