insaan
Meri kamiyan wo aksar ginwata hai mujhe, Phir jab ruth jati hun main, Toh kabhi nahin manata woh mujhe, Kehta hai,sach hai,sun lo,samajh lo, Aur aise baatein karta hai, Jaise achche se janta hai mujhe, Mazak bhi sanjeedgi se karta hai woh, Phir kehta hai samajh sakti ho to samjho, Kabhi mushkil kabhi behadh aasaan lagta hai woh, Meri thaki haari zindagi ka araam lagta hai woh, Sochti hun keh dun us se kabhi main bhi, Ki meri kalpanaon ka jeeta jaagta armaan lagta hai woh, Is duniya ka sabse khoobsurat insaan lagta hai woh. Medhavi