chaah
Mujhe ab tumhe paane ki chaah nahin rahi, Tumhe bin paaye itni baar jo khoya, Ab meri aankhon mein aansoo bhi aate nahin, Tumhe bin jataaye dil itni baar jo roya, Hairat ki baat toh yeh hai ki ab tumse koi ummeed bhi nahin, Bharosa jo tumne Mera itni baar toda, Bas waqt hai jo guzar raha hai be-aas, na-ummeedi mein, Kuch is tarah maine tumhara haath chodda. Medhavi